Write-Up
Haye o mera ghareeb baba
Ay shaam de loko, main Sayyad haan
Haye o mera ghareeb baba
Na kafan mila, na dafan huwa, mera baba pyaasa maardiya
Haye o mera ghareeb baba
1) Bazaar e shaam ka majma tha, Sajjad ghareeb ka noha tha
Kyu baaghi baaghi kehtey ho, kya jurm tha merey baba ka
Sajdey mein namaazi qatl kiya x2 Mera baba pyaasa maardiya
2) Mera baba shaan e RasoolAllah, mera baba jaan e Madina tha
Chauda, baara, aur paanch mein bhi, beshak anmol e nagina tha
Saadaat ke dil ko chaak kiya x2 Mera baba pyaasa maardiya
3) Mera baba paak namaazi tha, Allaha bhi jis se raazi tha
Mera baba aisa qaari tha, Quran bhi jis ka haami tha
Sajdey mein us par zulm kiya x2 Mera baba pyaasa maardiya
4) Pehley to pyaar se khat likh ke, dhokey se bulaya baba ko
Phir karbobala ke sehra mein, kitna hai sataaya baba ko
Mehmaan banaakar loot liya x2 Mera baba pyaasa maardiya
5) Batlaao kya mera baba, aik kafan ka bhi haqdaar na tha
Batlaao kya mera baba, Nana ka wirsadaar na tha
Laakho(n) ne us ko phair liya x2 Mera baba pyaasa maardiya