Write-Up
Hai Shaam Ka Bazaar Or Abid-E-Bimar

Tarikh Me Gar Bazaar Na Hota

Shabbir Ka Beta Kabhi Bimar Na Hota



(Sajjad Ko Be Maut Ye Gham Maar Gaya Hai) X2



1. Be Parda Haraam Saath Hai Aur Shaam Chalaa Hai



(Sajjad Ko Be Maut Ye Gham Maar Gaya Hai) X2



2. (Zainab Ko Koyi Dekh Na Paye Isi Khatir) X2

(Neze Pe Sar-E-Sibte Nabi Bol Raha Hai) X2



(Sajjad Ko Be Maut Ye Gham Maar Gaya Hai) X2



3. (Zainab Na Tamasha Bane Dekhe Muje Sab Log) X2

(Ye Soch Ke Sar Ghazi Ka Neze Se Gira Hai) X2



(Sajjad Ko Be Maut Ye Gham Maar Gaya Hai) X2



Abid Ko Dawa Aur Na Ghiza Dete Hai

Sote Hai To Zanjir Hila Dete Hai



4. (Ay Shimr Layin Kispe Tu Barsa Ta Hai Kore) X2

(Abid To Bari Der Se Behosh Para Hai) X2



(Sajjad Ko Be Maut Ye Gham Maar Gaya Hai) X2



5. (Ay Shimr Sakina Ko Na Tu Maar Tamache) X2

(Ahsas Yatimi Ki Bari Sakht Saza Hai) X2



(Sajjad Ko Be Maut Ye Gham Maar Gaya Hai) X2



6. (Na Tok Hai Wazni Ka Na Naqahat Ka Sabab Hai) X2

(Sar Sayed-E-Sajjad Ka Ghirat Se Juka Hai) X2



(Sajjad Ko Be Maut Ye Gham Maar Gaya Hai) X2



7. (Fizza Ki Himayat Me Kinchi Teg Hazaro) X2

(Zainab Ki Himayat Me Bas Ik Qaidi Khara Hai) X2



(Sajjad Ko Be Maut Ye Gham Maar Gaya Hai) X2



8. (Phir Shimr Ne Napaak Zaban Se Ye Bataya) X2

(Ye Laila, Ye Kulsum Ye Zainab Be Rida Hai) X2



(Sajjad Ko Be Maut Ye Gham Maar Gaya Hai) X2



9. (“Farhan” Ye Zainab Ke Masayib Ka Asar Hai) X2

(Chaalis Baras Mola Mera Rota Raha Hai) X2



(Sajjad Ko Be Maut Ye Gham Maar Gaya Hai) X2