Write-Up
Jab Dasht Se Hussain Ko Ghazi Ne Di Sada
Dunya Se Kuchh Karta Hun Ab Yaa Shahe Huda
Ye Sunte Hi Hussain Pe Kohe Alam Gira
Are Thaami Kamar Ik Haath Se Ik Haath Dil Pe Tha
Hasrat Se Suwe Zainabe Muztar Nigaah Ki
(Phir Dekha Sakina Ko Tarapkar Ye Aah Ki) X2
Abbas Abbas Abbas

1. Yaad Aaraha He Mujhko
Kehte The Baba Haider
Ek Roz Chheen Lenge
Ada Behan Ki Chadar
(Chadar Rahegi Tabtak) X2
Jab Tak Rahega Sar Par

Abbas (Alan In Kasara Zahri)

2. Akbar Ko Sath Lekar
Phir Dasht Ko Sidhare
Thame Huwe Kaleja
Ranjo Alam Ke Mare
(Jab Ran Mein Khayi Thokar) X2
Sheh Dard Se Pukare

Abbas (Alan In Kasara Zahri)

3. Nagaah Sheh Ne Paya
Ek Bazue Baradar
Ya Eliya Pukare
Chuma Use Uthakar
(Faryad Gham Se Aayi) X2
Be Saakhta Labon Par

Abbas (Alan In Kasara Zahri)

4. Do Gaam Hi Chale The
Phir Who Maqam Aya
Jab Doosra Bhi Baazu
Bhayi Ka Sheh Ne Paya
(Lasha Yahi(N) Kahi(N) He) X2
Bazu Ne Ye Bataya

Abbas (Alan In Kasara Zahri)

5. Ye Kehte Jaarahe The
Awaz To Sunao
Kis Jaa Parhe Ho Zakhmi
Tumhi Hame Batawo
(Ghurbat Me Bekasi Mein) X2
Yu(N) Chhor Ke Na Jawo

Abbas (Alan In Kasara Zahri)

6. Al Muqtasir Ke Pohoncha
Bhayi Ke Paas Bhayi
Zanu Pe Sar Ko Rakha
Di Roke Ye Duhayi
(Hum Bhi Nahin Rahenge) X2
Di Tum Ne Gar Judayi

Abbas (Alan In Kasara Zahri)

7. Maula Pukare Rokar
Rukhsat Ki Ye Ghari He
Ek Teer Aankh Me He
Zakhmi Jabee(N) Teri He
(Bhayi Mujhe Pukaro) X2
Hasrat Ye Aakhri He

Abbas (Alan In Kasara Zahri)

8. “Mazhar” Ye Baat Sun Kar
Wo Bawafa Pukara
Khaime Me Le Najaana
Lasha Kahi(N) Hamaara
Aka Se Ki Wasiyyat
Aur Khuld Ko Sidhara

Abbas (Alan In Kasara Zahri)