Write-Up
Faryad Kare Sugra (Kab Awoge) X2

Mere Pardesi Baba Kab Awonge



Ghar Suna Para Hai, Ay Baba

Honto Pe Buka Hai, Ay Baba

Dil Dub Raha Hai, Ay Baba



(Mere Pardesi Baba Kab Awoge) X2



1. Jis Din Se Gaye Ho Ay Baba Hai Lab Pe Mere Faryadei(N)

Din Roh Ke Guzarta Hai Mera Matam Me Guzaru Raate I(N)

Hujre Huwe Khali, Ay Baba

Nazo Ki Pali, Ay Baba

Sughra Hai Sawali, Ay Baba



(Mere Pardesi Baba Kab Awoge) X2



2. Ay Baba Namaze Shab Me Bhi, Me Zeyb-E-Musalla Ho Ker

Tasbi Hi Bana Ker Ashko(N) Ki Aur Allaho Akbar Keh Ker

Mei Kehti Ho Rokar, Ay Baba

Mer Jayengi Muztar, Ay Baba

Abad Karo Ghar, Ay Baba



(Mere Pardesi Baba Kab Awoge) X2



3. Awaz-E-Azaan Jab Kaano(N) Mei, Ati Hai Allahu Akber

Dil Mera Tarap Ker Kehta Hai Le Aagaye Tera Akber

Ho Khwab Ye Pura , Ay Baba

Aye Mera Bhaya, Ay Baba

Batla Do Khudara, Ay Baba



(Mere Pardesi Baba Kab Awoge) X2



4. Jab Maut Muje Ajayengi Kunbe Ki Yaad Me Rokar

Talqeen Paranga Kon Meri Na Aap Na Bhayya Akber

Me Bekas-O-Muztar, Ay Baba

Ab Maut Hai Ser Per, Ay Baba

Ik Boj Hai Dil Par, Ay Baba



(Mere Pardesi Baba Kab Awoge) X2



5. Ghar Qabr Ke Jaisa Lag Ta Hai Dasti Hai Muje Tanhayi

Har Saath Me Dejati Hai Kuch Zakhm Naye Tanhayi

Har Lamha Jafaa Hai, Ay Baba

Jina Bhi Sazaa Hai, Ay Baba

Ab Kehna Para Hai, Ay Baba



(Mere Pardesi Baba Kab Awoge) X2



6. Ik Dard Musalsal Rehta Hai Is Qalb-E-Hazee(N)E Mei Baba

Ay Kash Ke Marne Se Pehle Ghar Laut Ke Ayei(N) Baba

De Kon Dilase, Ay Baba

Kya Puchu Khuda Se, Ay Baba

Tum Karbobala Se, Ay Baba



(Mere Pardesi Baba Kab Awoge) X2



7. Jab Aun O Muhammed Ke Hujre Dekhu To Tarap Jati Hu(N)

Asger Ka Humakna Baba Sochu To Tarap Jati Hu(N)

Tarsi Hain Nigaahei(N), Ay Baba

Sab Yaad Jo Ayei(N), Ay Baba

Deti Hu(N) Sadaye(N) , Ay Baba



(Mere Pardesi Baba Kab Awoge) X2



8. “Farhan” Masayib Likhte Huwe “Mazhar” Ne Ashk Bahaye

Kiya Khune Jigar Se Sugra Ne Baba Ko Likha Ta Haye

Ker Ker Ke Nawha, Ay Baba

Jab Thak Gaye Sugra, Ay Baba

Tehreer Mei Pucha, Ay Baba



(Mere Pardesi Baba Kab Awoge) X2