Write-Up
(Ya abbas, abbas ya abbas, Ya abbas, abbas ya abbas) x3

Hai laqab ghazi tera, tu hai akse murtaza
Bhaayi ho shabbri ka, aur Zainab ki rida
Tu hai Zahra ki dua, aur alamdare wafa

(Ya abbas, abbas ya abbas, Ya abbas, abbas ya abbas) x2

Jo pareshaa(n) haal hai, unke gham ko door kar
Jo dua hai la-qabool, Rab se wo manzoor kar
Momino(n) ke har gunaah, rab se tu maghfoor kar

(Ya abbas, abbas ya abbas, Ya abbas, abbas ya abbas) x3

Kal mila tha ye alam, jaffar-e-tayyar ko
Jang-e-khayber mei mila, haider-e-karrar ko
Aur karbal mei mila, ghazi-e-jarrar ko

(Ya abbas, abbas ya abbas, Ya abbas, abbas ya abbas) x3

Har namaaze shab mei ye, thi ye Haider ki dua
Mere bête ke liye, ik sahara bhejna
Eik ik insaa(n) mei se, tumko Allah ne chuna

(Ya abbas, abbas ya abbas, Ya abbas, abbas ya abbas) x3

Nang-e-sar darbaar jo, ayi bint-e-fatemah
Puchta tha ye yazeed, kon hai ab aasra (hai kahaa(n) ghazi tera)
Dekh ke bhaayi ka sar, roke zainab ne kaha

(Ya abbas, abbas ya abbas, Ya abbas, abbas ya abbas) x3

Kya tumhe hai ye khabar, mei hu haider ka pisar
Jaise baba sheyr the, hai mera waisa jigar
Bhaglo ab waqt hai, aaraha hai ye qamar

(Ya abbas, abbas ya abbas, Ya abbas, abbas ya abbas) x3

Ay adu sunlo zara, roko na rasta mera
Chahte ho tum agar, ab ajal ka raasta
Maut se darta nahi, hu ali ka ayina

(Ya abbas, abbas ya abbas, Ya abbas, abbas ya abbas) x3

Bazuo(n) dono kate, haaye mashkiza chida
Gurz sar pe jab laga, bawafa zee(n) se gira
As-salaam aqa mere, roke ghazi ne kaha

(Ya abbas, abbas ya abbas, Ya abbas, abbas ya abbas) x3

Ponch kar abbas ke, laash par sheh ne kaha
Tum to meri aas the, aur aankho(n) ka diya
Rut na jawo abhi, aankhei(n) kholo phir zara

(Ya abbas, abbas ya abbas, Ya abbas, abbas ya abbas) x3

Hai alam abbas ka, har hussaini ka nishaa(n)
Hai “tejani” muntazir, aur ye sara jahaa(n)
Ke uthaaye khud alam, aake maula-e-zamaa(n)

(Ya abbas, abbas ya abbas, Ya abbas, abbas ya abbas) x3