Write-Up
Labbayka ya hussain

(dete rahenge ye sada ya hussain, saara jaha(n) tum pe fida ya hussain) x2

Teeron ki barish huwi, Asr ka waqt agaya
Dekh raha tha falak, hoti thi tumpar jafa,
Zeen pe na khaak pe aap ka lasha para
Aap ke halqoom par shimr ka khanjar chala,
jalasa shimran ‘ala s’adri-zaki
wa h’az nah’r al-h’ussain ibn ‘ali

(dete rahenge ye sada ya hussain, saara jaha(n) tum pe fida ya hussain) x2

Qasimo asghar nahi, akbaro abbas bhi,
Shame ghariban hai aur, bibiyan sab hai khari
Khaymon me ab hai dhuwan, sar se rida chingayi
Sham talak berida roti hai binte ali
ya rayt h’az nah’ri qabal nah’ruka
Wa la ara ‘ala at-tirbaan jismuka

(dete rahenge ye sada ya hussain, saara jaha(n) tum pe fida ya hussain) x2

ayi wo beti teri sham ke bazaar me
kaano(n) se bali chini, jisko tamache lage
sham talak rororahi thi yahi kehte huwe
baba kahan ho mere awo bachawo mujhe
ayna tara bint imam-al-huda
h’awlaha al-a’adaa wa ru’us fawqaha

(dete rahenge ye sada ya hussain, saara jaha(n) tum pe fida ya hussain) x2


Askhk bahate hai hum, karte hai matam tera,
Hum tere hi naam me karte hai majlis bapa
Jine ka maqsad hai tu, tu hai humari baqa
akhri sanse talak dete rahenge sada
nah’nu jamee’an sarakhna lak hussain
Wa naqoolu kulna fida lak hussain


(dete rahenge ye sada ya hussain, saara jaha(n) tum pe fida ya hussain) x2


Khuda hi janta hai haqiqat hussain ki,
Mustafa se pucho izzat hussain ki,
Jibreel se pucho khidmat hussain ki,
Kul ambhiya se pucho ibadat hussain ki,
Mola ali se pucho azmat hussain ki,
Fatima se pucho fazilat hussain ki,
Sakina se pucho mohabbat hussain ki,
Sajjad se pucho wasiyat hussain ki,
Behlool se pucho jannat hussain ki,
Rahib se pucho sakawat hussain ki,
Kul karbala se pucho karamat hussain ki,
Yazeed say pucho zara taqat hussain ki.

aaj talak goonjti hai ye jahan me sada
tha tere lab pe buka barsare karbobala
kehte hai labbayk hum, har gari aur har jaga
kaash yun hote to hum, saath bhi dete tera
laytana kunna ma’ak fi karbala’
Li Nasfika fi h’ubbika ad-dimaa’

(dete rahenge ye sada ya hussain, saara jaha(n) tum pe fida ya hussain) x2

chaand sitaron pe aur, arsh pe hai tera naam
koyi na jo karsaka tune dikhaya wo kaam
dono jahaan me har aik, karte hai tujhko salaam
tune bachaya hai deen ay mere pyare imam
haqaqta hilman bi himayat ad-deen
baqayta dawman a’wnan li ash-shakireen


(dete rahenge ye sada ya hussain, saara jaha(n) tum pe fida ya hussain) x2

aaj bhi tere muhibbon pe hai zulmo jafa
ghazza medina najaf, karbobala samarra
humko hai ab dekhna, badla-e-karbobala
awo imame zamaan hai yahi dil ki dua
Hatta mata yudh’bahu h’ub al-‘wasi
Wa dhanbuna huwa h’ub aali ‘ali


(dete rahenge ye sada ya hussain, saara jaha(n) tum pe fida ya hussain) x2

hai ye “tejani” dua ay mere parwardigaar
bhejiye mehdi ko ab, kehte hai hum baar baar
lashkare mehdi me ho saare hussaini shumaar
jitenga islaam aur, hogi wo zulmat ki haar
hadha ad-dua’ minna ya rabb ya shafi’
‘ajjil dhuhoor s’ah’ib ul-‘asr ya sami’

(dete rahenge ye sada ya hussain, saara jaha(n) tum pe fida ya hussain) x2