Abbas (AS) Ho Kahaan
speaker_notes
Write-Up
(Mere Abbas Ho Kahaa(N)) X2
Abbas Ho Kahaa(N), Mere Abbas Ho Kahaa(N)
Bemakhna Aur Be Chadar
Kehti Hai Bibi Zainab Rokar
Ay Sheyr-E-Karwaa(N)
(Aal-E-Nabi Aur Sham Ka Rasta, Koi Nahi Zainab Ka Sahara, Abbas Ho Kahaa(N))
X2
Sharm Ye Ati Hai Mujhko Ke, Sar Pe Nahi Koi Bhi Parda
Sharm Ki Had Hai Ye Ghazi Ke, Dekh Rahe Ho Tum Ay Bhayya
Kaise Karu(N) Baalo(N) Ki Chadar
Khaak-E-Shifa Ko Sar Pe Rakh Kar
Ab Hu(N) Mei Yak-Zabaa(N)
Mere Abbas Ho Kahaa(N)

Gham Se Bhara Hai Qalb Ye Mera, Sham Ke Is Darbaar Ke Andar
Tasht Tille Pe Bhayi Ka Sar Hai, Nok-E-Sina Par Tu Ay Dilawar
Zakhm Hazaro(N) Hai Ye Dil Mei(N)
Mei Hu(N) Anbaar-E-Qatil Mei(N)
Hu Aayina-E-Maa(N)

Ponch Gaye Shiree(N) Ke Gar Pe, Pooch Rahi Hai Wo Hasrat Se
Saath Mei Aye Hai Kya Maula, Ayi Hai Zainab Kya Ghurbat Se
Boli Ke Haaye Mei Hu(N) Zainab,
Aal-E-Muhammad Ke Bete Sab,
Neze Pe Hai(N) Yahaa(N)

Choti Si Qabrei(N) Kitni Banawu(N), Sham Ke Raste Mei Bacho(N) Ke
Sukhi Zabaa(N) Hai Garm Hawa Hai, Hosh Nikalti Hai Pyaaso(N) Ke
Eik Rasan Aur Bara Gale Hai
Taziyaa(N) Aur Durre Lagte Hai
Hai Pusht Par Nishaa(N)
Mere Abbas Ho Kahaan

Jiske Gale Par Khud Ahmad Ne, Bose Lagaaye The Roro Kar
Khaymo(N) Ke Dar Se Dekh Rahi Thi, Hone Laga Jab Tan Se Juda Sar
Tha Bachpan Mei Sawaar-E-Payambar
Aya Hai Jo Ye Nok-E-Sina Par
Hai Natiq-E-Quraa(N)

Tum Bhi Nahi Mere Ghazi Aur, Na Akbar Hai Na Asghar Hai
Had Hai Ke Ab Mere Sar Par Bhi, Bhayi Nahi Koi Chadar Hai
Khake Pathar Zalim Se Ye
Sham Ke Zinda(N) Ko Behne Ye
Jaati Hai Al-Amaa(N)

Bali Sakina Ko Zinadan Me, Chhoti Lahad Me Dafn Karke
Yaad Ayi Apne Bhayi Ki, Us Pal Binte Ali Ko Had Se
Phat’ta Hai Dil Likh Kar Ay “Tejani”
Zinda(N) Mei Zainab Ye Pukari
Lekar Jo Siskiyaan

format_list_bulleted
More From This Album