Maa Kehti Thi Asghar
speaker_notes
Write-Up
(Haaye Asghar, Haay Haay Asghar) X3
(Maa Kehti Thi Asghar Mere Ghar Lawt Ke Aana) X3
1. Royi Hu Bhare Ghar Ko, Muje Tum Na Rulaana
(Maa Kehti Thi Asghar Mere Ghar Lawt Ke Aana) X2
2. (Tu Bol Nahi Sakta Hai, Kya Mangega Paani) X2
Ay Nehr Mere Laal Ko, Tu Paani Pilaana
(Maa Kehti Thi Asghar Mere Ghar Lawt Ke Aana) X2
3. (Talwaar Utha Sakte Nahi, Tum Mere Beta) X2
Tum Teer-E-Tabassum Hi Ko Hathyaar Banaana
(Maa Kehti Thi Asghar Mere Ghar Lawt Ke Aana) X2
4. (Maydan Me Barsaat Hai Teero(N) Ki Meri Jaan) X2
Ay Laal Mere Teero(N) Se, Tum Khud Ko Bachana
(Maa Kehti Thi Asghar Mere Ghar Lawt Ke Aana) X2
5. (Aah Nad-E-Ali Dam Karoo(N) Gardan Pe Teri Mei) X2
Hai Radde Balaa Ke Liye, Nuskha Ye Puraana
(Maa Kehti Thi Asghar Mere Ghar Lawt Ke Aana) X2
6. (Sunti Hu(N) Lagaa Teer Gale Par Tere Beta) X2
Ye Zakhme Guloo Khuld Mei, Daada Ko Dikhana
(Maa Kehti Thi Asghar Mere Ghar Lawt Ke Aana) X2
7. (Maloom Tha Mujhko Ke Tumhe Pyaas Hai Kaysi) X2
Marne Ke Liye Paani Ka, Karte The Bahaana
(Maa Kehti Thi Asghar Mere Ghar Lawt Ke Aana) X2
8. ("Rehan" Dua Karta Hu(N) Nohay Ke Sile Me) X2
"Shabbir" Ka Shaair Hi, Kahe Mujhko Zamana
(Maa Kehti Thi Asghar Mere Ghar Lawt Ke Aana) X2
(Haaye Asghar, Haay Haay Asghar) X3
format_list_bulleted
More From This Album