Write-Up
(Shah Ast Hussain, Badshaah Ast Hussain, Dee(N) Ast Hussain, Dee(N) Panah Ast
Hussain) X2
(Aaj Bhi Shabbir Ko, Rota Hai Ye Saraa Jahaan) X3 Aaj Bhi Shabbir Ko
1. (Teen Din Ki Pyaas Me Shabbir Ka Wo Imtihaan) X2
Sar Zamine Karbala Roti Thi Roya Aasmaan
(Aaj Bhi Shabbir Ko, Rota Hai Ye Saraa Jahaan) X2 Aaj Bhi Shabbir Ko
2. (Samne Darya Tha Lekin Tashnalab Asgher Raha) X2
Kehti Thi Bali Sakina Hai Labo Par Meri Jaan
(Aaj Bhi Shabbir Ko, Rota Hai Ye Saraa Jahaan) X2 Aaj Bhi Shabbir Ko
3. (Hazrate Abbas Ke Bazu Kalam Jab Hogaye) X2
Kehti Thi Zainab Saro Se Uth Gaya Hai Sayebaan
(Aaj Bhi Shabbir Ko, Rota Hai Ye Saraa Jahaan) X2 Aaj Bhi Shabbir Ko
4. (Sinaye Akbar Me Barchi Toot Kar Jab Rehgayi) X2
Kehte The Imdaad Ko Jald Aayiye Ay Baba Jaan
(Aaj Bhi Shabbir Ko, Rota Hai Ye Saraa Jahaan) X2 Aaj Bhi Shabbir Ko
5. (Khoon Me Asgher Naha Kar Sogaya Maidan Me) X2
Deyr Tak Rote Rahe Asgher Pe Sab Teero Kamaan
(Aaj Bhi Shabbir Ko, Rota Hai Ye Saraa Jahaan) X2 Aaj Bhi Shabbir Ko
6. (Jab Sare Shabbir Zindaa(N) Me Sakina Ko Milaa) X2
Roke Dikhlane Lagi Rukh Par Tamaacho Ke Nishaan
(Aaj Bhi Shabbir Ko, Rota Hai Ye Saraa Jahaan) X2 Aaj Bhi Shabbir Ko
7. (Yaad Ajaata Tha Akbar Madare Akbar Ko Phir) X2
Jab Kabhi Kaano Me Aajati Thi Awaaze Azaan
(Aaj Bhi Shabbir Ko, Rota Hai Ye Saraa Jahaan) X2 Aaj Bhi Shabbir Ko
8. (Tukre Tukre Hogaya Kasim Ka Laasha Dasht Me) X2
Laash Ke Tukre Uthate Rehgaye Shahe Zamaan
(Aaj Bhi Shabbir Ko, Rota Hai Ye Saraa Jahaan) X2 Aaj Bhi Shabbir Ko
9. (Kal Ghame Shabbir Me Zainab Ko Na Rone Diya) X2
Ro Raha Hai Aaj Maula Aap Ko Saaraa Jahaan
(Aaj Bhi Shabbir Ko, Rota Hai Ye Saraa Jahaan) X2 Aaj Bhi Shabbir Ko
10. (Hazrate "Shabbir" Ho Ya Hazrate "Abbas" Ho) X2
Degaye "Rehan" Dine Haq Pe Dono Apni Jaan