Write-Up
(Ya Hussain, Ya Hussain) X4
(Har Azaa Khane Me Hai Matam Bapaa Shabbir Ka) X2
(Hai Zami(N) Se Asman Tak) X2 Tazkira Shabbir Ka
1. (Asre Ashoora Jab Aayi Rehgaye Tanha Hussain) X2
(Ik Behen Thi Saath Me) X2 Sarpar Khuda Shabbir Ka
(Har Azaa Khane Me Hai Matam Bapaa Shabbir Ka) X2
2. (Hur Chalaa Jataa Tha Dozakh Ki Taraf Chalta Huwa) X2
(Phir Achanak Milgaya) X2 Tha Raasta Shabbir Ka
(Har Azaa Khane Me Hai Matam Bapaa Shabbir Ka) X2
3. (Bujh Gaya Suraj Yazidi Fawj Ka Ik Roz Me) X2
(Jal Raha Hai Aaj Tak) X2 Lekin Diya Shabbir Ka
(Har Azaa Khane Me Hai Matam Bapaa Shabbir Ka) X2
4. (Koyi Roye Ya Na Roye Uski Ye Taqdir Hai) X2
(Khud Muhammad Parh Rahe Hai) X2 Marsiya Shabbir Ka
(Har Azaa Khane Me Hai Matam Bapaa Shabbir Ka) X2
5. (Ay Falak Tu Hi Bataa Ye Zayre Khanjar Kon Hai) X2
(Ye Muhammad Ka Galaa Hai) X2 Ya Galaa Shabbir Ka
(Har Azaa Khane Me Hai Matam Bapaa Shabbir Ka) X2
6. (Teen Din Ki Pyaas Me Laashe Uthaye Kis Qadar) X2
(Sabr Dekho Zabt Dekho) X2 Hosla Shabbir Ka
(Har Azaa Khane Me Hai Matam Bapaa Shabbir Ka) X2
7. (Tu Bataa Shame Ghariba(N) Baade Shahe Karbala) X2
(Khanaaye Kaabaa Jalaa Ya) X2 Ghar Jalaa Shabbir Ka
(Har Azaa Khane Me Hai Matam Bapaa Shabbir Ka) X2
8. (Khof Kya "Rehan" Usko Hashr Ke Hangaam Se) X2
(Jisko Bachpan Se Rahaa) X2 Ho Aasra "Shabbir" Ka
(Har Azaa Khane Me Hai Matam Bapaa Shabbir Ka) X2
9. (Hai Zami(N) Se Asman Tak) X2 Tazkira Shabbir Ka
(Har Azaa Khane Me Hai Matam Bapaa Shabbir Ka) X2
(Matam Bapaa Shabbir Ka) X3