Write-Up
Ay Abbas (as) Haye Abbas
Aal e Imraan Kahan, Aur Zindan Kahan
Ley Behan Qaid Hui, Tu Na Aya Ghazi (as)
Aagaey Shaam e Alam, Lut Gaye Ehl e Haram
Reit Per Jalti Hui, Hogaya Thanda Alam
Pursa Denay Ke Liye, Mujh Sey Milne Ke Liye, Agaye Baba Ali
Dhoop Mei Tu Tha Shajar, Tujhse Aabaad Tha Ghar
Hai Barehna Mera Sar, Kya Nahi Tujh Ko Khabar
Ay Alamdaar e Wafa, Is Bahen Ko Ba Khuda, Tujhse Dhaaras Thi Bari
Kya Kahoon Sher Meray, Be Rida Hum Ko Liey
Ye Musalmaa(n) Saare, Shehr Dar Shehr Gaey
Khilqat e Kufa Kabhi, Khilqat e Shaam Kabhi, Baaraha Hum Pe Hasi
Kitni Bebas Thi Behen, Ay Shehenshah e Wafa
Naam Le Le Ke Mera, Jab Ye Zaalim Ne Kaha
Naaz Tha Jis Pe Tujhe, Ab Bulaaona Usay. Aur Mai Roti Rahi
Hum Ko Paani Na Mile Teri Khushboo To Rahay
Teray Baazu Na Katein, Chaahe Mashkeeza Chiday
Ye Magar Ho Na Sakaa, Teray Baazu Hain Juda, Mujh Pe Hai Tashna Labi
Kya Sakina Se Kahoon, Ay Meray Dil Ke Sukoon
Haaey Paani Ke Liye, Beh Gaya Sub Tera Khoon
Ab Koi Aas Nahi, Tu Meray Paas Nahi , Rassi Shaanon Main Bandhi
Jab Chali Sheh Pe Churi, Ay Meray Sher e Jari
Haath Malti Thi Behan, Kuch Qadam Door Khari
Kat Gaya Sheh Ka Gala, Haaey Bhaai Ny Sada. Mujh Ko Har Zarb Py Di
Qaid Khaane Mei Qaza, Jab Sakina Ko Mili
De Ke Kurtey Ka Kafan, Bachi Dafnaai Gayi
Us Ghari Naam Tera, Surat e Naad e Ali, Bus Mai Dohraati Rahi
Roya Rehan Qalam, Kar Ke Ye Baat Raqam
Khoon Mei Doob Gaya, Mera Ghazi Ka Alam
Zakhmi Zainab Ka Jigar, Khoon Fishaa(n) Shah Ka Sar, Aaye Khaimon Mei Shaqi
Tu Na Aya Ghazi