Ghar Mein Aya Hai Qatil e Akbar

Write-Up
Shiddat e Sabr se, mar jaaey na maa Akbar ki
Din Madine mein wo taqdeer ne dikhlaaya hai
Jis ne maari thi, kaleje mein sinaa Akbar ke
Ban ke mehmaan wo Sajjad ke ghar aaya hai
Ghar mein aya hai qaatil e Akbar, Umme Laila ko hogayi hai khabar
Sheh taraptey hai qabr ke andar x2 Maa tarapti hai qabr se baahar
Phir wohi kaifiyat hai Laila ki, (haal tha jo jawaan ke lashey par) x2
Uske qadmon ki aahatein sun kar, maa ne thaama huwa hai apna jigar
Chehra Karbobala ki jaanib hai, (Paani haathon mein leke roti hai) x2
Phir raha hai, nigaah mein maa ki, Ali Akbar ki maut ka manzar
Umme Laila sambhaal Zainab ko, (Kal yeh Shabbir de rahey they sada) x2
Aaj Abid phuppi se kehtey hain, maa ko meri sambhaaliey jaakar
Qabr e Zahra se aarahi hai sada, (Is ne maara hai merey baba ko) x2
Phir Madiney mein ik qayamat hai, hil raha mazaar e Paighambar
Ali Akbar lipat ke qadmon se, (Keh rahey hongey apney baba se) x2
Toot jaaey na zabt ka bandhan, hosla maa ko dijiye jaakar
Sar e Akbar uthaa ke naizey par, (Umme Laila ko yeh dikhaata tha) x2
Us ko kaisey wo bhool sakti hai, jis se khaaey they shaam mein pathar
Yeh kareemi se ruk nahi sahtey, (Qatilon ko duaaein detey hain) x2
Is se pehley yeh bakhsh de Abid, koi Mukhtar se kahey jaakar
Tum ne Sajjad mujh ko pehchaana sun ke qaatil se boley yeh Mola
Tu wo Ibn e Nimair hi hai naa, jis ne tukrey kiey hamara jigar
Kal they mehmaan hum terey zaalim, aaj mehmaan tu hamara hai
Aur kuch chaahiye bata tujh ko, abhi keh doon phuppi se main jaa kar
Dil nahi lagta aaj ghar mein mera, ay Takallum yeh maa ka noha tha
Thaam kar koi merey baazu ko, le chaley Fatima ki turbat par