Write-Up
Maa Kehti Thi Jalte Huay Jhule Se Lipat Kar
Haye Haye Ali Asghar , Haye Haye Ali Asghar
Zaalim Ne Tujhe Qabr Se, Is Tarha Nikala
Seene Pe Lagaa Jis Ghari, Beta Tere Naiza
Laashe Ko Tere Dekh Ke, Bola Sar-e-Akbar
Haye Haye Ali Asghar
Maa Ke Dulaare Ali Asghar , Ankhon Ke Taare Ali Asghar
Qatil Tera Mil Jaye To, Khud Pooch Lun Us Se
Kya Jurm Tha Che Maah Ke, Bache Ka Bata De
Us Ne To Bulaaya Nahi, Maa Bhi Mujhe Keh Kar
Haye Haye Ali Asghar
Ab Tak Meri Aankhon Se Wo Manzar Nahi Jata
Gardan Se Teri Khoon Tapak Ta Raha Beta
Rumaal Bhi Baandha Na Gaya Tere Galey Par
Haye Haye Ali Asghar
Jis Teer Se Naaqey Ko Giraate Hain Zameen Par
Wo Teer Laga Nanne Se Halqoom Pe Aa Kar
Tum Khoon Ugalte Rahe, Baba Se Lipat Kar
Haye Haye Ali Asghar
Tum Mar Gaye Yeh Baat Wo Ab Tak Nahi Maani
Zid Karti Hai Bhaai Ko Pilaaungi Mai Paani
Kooza Liye Maqtal Mein Khari Hai Teri Khaahar
Haye haye Ali Asghar
Majboor Thi Ghar Mein Mere Paani Hi Nahi Tha
Warna To Dhulaa Deti Main Ye Khoo(n) Bhara Chehra
Daadi Sy Shikaayat Nahi Karna Meri Jaakar
Haye Haye Ali Asghar
Maara Hai Sitamgar Ne Sakina Ko Tamacha
Ghazi Ki Tarhaa Tum Se Bhi Dekha Nahi Jaata
Band Aankhein Kiye Rote Ho Tum Noke Sina Par
Haye Haye Ali Asghar
Sar Is Liye Naizay Se Giraa Dete Ho Apna
Godi Mein Meri Aana Hai, Shaayad Tumhe Beta
Lekin Hai Bandhe Haath Uthaa Sakti Nahi Sar
Haye Haye Ali Asghar
Sajjad Wo Kehti Thi Chalaa Bhi Nahi Jaata
Do Chaar Qadam Baad Hi Gir Jaati Hoon Beta
Meri Bhi Kamar Kham Hai Teri Lash Utha Kar
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huay Jhule Se Lipat Kar, Haye Haye Ali Asghar
Maa ke dulaarey Ali Asghar, Aankhon ka taara Ali Asghar