Write-Up
Note For Reciters : This Nauha Contains "Doray". Doray (Tehtay Lafz) Are Words
Not Recited In A Tone, During The Course Of Recitation. Doray Are Usually
Recited During Processions Or Where There Is A High Response (Matam) From The
People. It Would Be Advisable To Avoid During Normal Mehfil Recitations. These
Are Marked With "------".

(Shaam Chali, Me Shaam Chali) X2

1. (Pardes Me Gar Lutwaake, Par Tera Din Bachaake) X2 Me Shaam Chali Nana

(Shaam Chali, Me Shaam Chali) X2

2. (Be Goro Kafan Bhayi Hai Mera, Asbab Luta Hai Gar Bhi Jalaa) X2

So Teer Ghamo Ka Kha Ke, Ankho Se Khun Bahaa Ke Me Shaam Chali Nana

(Shaam Chali, Me Shaam Chali) X2

3. (Bhayi Ka Gala Kat Te Dekha, Kasim Ka Badan Pamaal Huwa) X2

Akber Ka Dard Utha Ke, Hatho Me Rasan Bandh Waake, Me Shaam Chali Nana

\-----------------------------------------------------------------------------------------

Doray:

Ghazi Tere Alam Ki Hifazat Karungi Me, Ghazi Tere Alam Ki Hifazat Karungi Me,
Duniya Tere Alam Ko Gharo Par Lagayengi, Ghazi Tere Alam Ki Hifazat Karungi
Me, Duniya Tere Alam Ko Gharo Par Lagayengi, Me Aaj Shaam Leke Chali Hu Teraa
Alam, Ek Kowm Sariyon Me, Ek Kowm Sariyon Me, Ye Parcham, Ye Parcham Uthayengi

\-----------------------------------------------------------------------------------------

(Shaam Chali, Me Shaam Chali) X2

4. (Ghazi Ke Baad Me Ghazi Hu, Me Nade Ali Dohraati Hu) X2

Khutbo Ki Tez Chalaake, Ghazi Ka Alam Lehraake, Me Shaam Chali Nana

(Shaam Chali, Me Shaam Chali) X2

5. (Rasi Me Sakina Ka He Gala, Sajaad Pehnaakar Tokh Chalaa) X2

Lo Shimr Ke Zulm Khaake, Sabr Hussain Dikha Ke, Me Shaam Chali Nana

(Shaam Chali, Me Shaam Chali) X2

\-----------------------------------------------------------------------------------------

Doray:

Ansoo Tumhare Laasho Pe Me Naa Bahaa Saki, Ansoo Tumhare Laasho Pe Me Na Bahaa
Saki, Do Gunt Bhi Na Tumko Paani Pila Saki, Aansoo Tumhere Laasho Pe Me Na
Bahaa Saki, Do Gunt Bhi Na Tumko Pani Pila Saki, Zalim Ne Mere Haatho Ko
Bandha Rasan Ke Saath, Kiski Ye Khabar Gale Bhi Na Tumko Laga Saki

\-----------------------------------------------------------------------------------------

6. (Do Laal Fida Bhayi Pe Kiya, Mo Rowi Nahi Dono Ke Liye) X2

Ankho Me Ashk Chchupaa Ke, Bhayi Ka Dard Bacha Ke Me Shaam Chali Nana

(Shaam Chali, Me Shaam Chali) X2