Write-Up
_ _

Zindaan Ke Gor Andherey Mey Ik Masooma Ghabraai Hai

Dewaaro(N) Se Lag Kar Roye (X2)

Or Chaaro Taraf Uske Tanhaai Hai



Ik Pal Bhi Nahi Soyi, Baba Se Juda Hoke

Zindaa Me Akeli Hu(N) Marjayegi Roro Ke

Tute Huwe Farsh Ki Eeto(N) Pey (X2)

Bacho Ko Kabhi Logo, Neend Aayi Hai



Maut Aaye Nazar Isko, Zindaa Ki Salaakho Mey

Jab Qat’l Huwe Baba, Manzar Hai Wo Aankho(N) Mey

Pabandi Bhi Iske Rone Pey (X2)

Baba Ke Qatil Nai, Lagwaayi Hai



Pucha Jo Sakina Sey, Ye Hinda Ki Beti Nai

Ay Bibi Bataa Kisney, Tere Kaano Se Dur Ch(H)Eeney

Kis Jurm Mey Teri Gardan Mey (X2)

Rassi Kis Zaalim Nai, Dilwaayi Hai



Aankho(N) Sey Bhala Abid, Kyu(N) Khoon Bahaaye Na

Sir Zakhmi Hai Phuppiyo(N) Key, Dekha Bhi To Jaayena

Baarish Pathar Ke Phoolo(N) Ki (X2)

Jab Shaam Ke Logo(N) Ne, Barsaayi Hai



Koyi Behan Sakina Si, Na Qaid Me Marjaaye

Or Bhai Usey Meyle, Choley Mey Hi Dafnaaye

Tareekh Humey Batlaati Hai (X2)

Abid Ne Behan Kaise, Dafnaayi Hai



Akhtar Ye Masooma Key, Pursey Ka Asar Hoga

Har Matami Noha Khan, Ka Khuld Me Ghar Hoga

Na Roze Jazaa Ka Fikr Kare (X2)

Ye Farshe Azaa Jisney, Bichwaayi Hai