Write-Up
(Maulai Ya Ya Maula, Maulai Ya Ya Maula) X2

1. Haajat Rawaa. Mushkil Kushaa, Lafz-E-Nabi Dast-E-Khuda

Maulai Ya Ya Maula, Maulai Ya Ya Maula

(Maulai Ya Ya Maula, Maulai Ya Ya Maula) X2

2. Loh-O-Qalam Ke Raazdaan, Ay Waarise Kaun-O-Makaan

Tu Ne Bichaai Ye Zameen Tu Ne Sajaaya Aasmaan

Ye Behr-O-Bar Shams-O-Qamar Dete Hain Tujhko Hi Sadaa

Maulai Ya Ya Maula, Maulai Ya Ya Maula

(Maulai Ya Ya Maula, Maulai Ya Ya Maula) X2

3. Aadam The Aab-O-Gul Mein Jab, Qudsi Bhi The Sajde Mein Sab

Koi Na That Ere Siwaa, Chamka Charaaghe Tur Jab

Tere Hi Saamne Huwi Takhleeq Ye Aab-O-Hawaa

Maulai Ya Ya Maula, Maulai Ya Ya Maula

(Maulai Ya Ya Maula, Maulai Ya Ya Maula) X2

4. Ilm-E-Khuda Ilm-E-Nabi, Ilm-E-Abutaalib Sabhi

Ay Babe Shehre ‘Ilm Tu, Rakhta Hai Kitni Roshni

Isko Andhere Khaagae Jot Ere Dar Se Hat Gayaa

Maulai Ya Ya Maula, Maulai Ya Ya Maula

(Maulai Ya Ya Maula, Maulai Ya Ya Maula) X2

5. Phir Mazaare Mustafa, Karb Se Hilne Lagaa

Haae Zainab Ka Pidar, Tegh Se Zakhmi Huwaa

Sayyeda Hai Maatami, Arsh Se Aai Sadaa

Maulai Ya Ya Maula, Maulai Ya Ya Maula

(Maulai Ya Ya Maula, Maulai Ya Ya Maula) X2

6. Ro Rahe Hain Baap Ko, Hazrate Abbas Bhi

Bichgaya Farshe Azaa, Phir Bapaa Majlis Huwi

Masjide Koofa Mein Hai, Manzar E Karbobalaa

Maulai Ya Ya Maula, Maulai Ya Ya Maula

(Maulai Ya Ya Maula, Maulai Ya Ya Maula) X2

7. Zainab-O-Kulthum Par, Abr-E-Yateemi Chaagaya

Yaad Phir Shabbir Ko, Maa Ka Janaaza Aagaya

Sog Mein Ehle Azaa Hain, Aagaya Maahe Azaa

Maulai Ya Ya Maula, Maulai Ya Ya Maula

(Maulai Ya Ya Maula, Maulai Ya Ya Maula) X2

8. "Rehan" Rakhde Ab Qalam, Hadse Siwaa Hota Hai Gham

Nauha Kunaa "Band-E-Ali", Farshe Azaa Ashkonse Gham

Purse Ko Tere Aae Hain, Arsh-E-Bareen Se Anbiyaa

Maulai Ya Ya Maula, Maulai Ya Ya Maula

(Maulai Ya Ya Maula, Maulai Ya Ya Maula) X2