Write-Up
(Chehlum Hai Azaadaron, Hussain Ibn-E-Ali Ka) X3

1. (Pursa Do Ay Gham Khwaaron) X2 Hussain Ibn-E-Ali Ka

(Chehlum Hai Azaadaron, Hussain Ibn-E-Ali Ka) X2

2. Chokhat Pe Farishton Ko Jhukte Huwe Dekha

Dehleez Pe Ahmed Ko Rukte Huwe Dekha

Qur’aan Samajh Kya Hai, Qaseeda Hai Inhi Ka

(Chehlum Hai Azaadaron, Hussain Ibn-E-Ali Ka) X2

3. Ye Chaahen To Sajda Bhi Barhjaate Hain Logon

Fitrus Ko Baal-O-Par Bhi Miljaate Hain Logon

Daaman Na Sameto Tum, Ye Dar Hai Sakhi Ka

(Chehlum Hai Azaadaron, Hussain Ibn-E-Ali Ka) X2

4. Maan Iski Sayyada Hai Bahan Saani-E-Zehra

Aaghoshe Muhammad Ne Ise Naazonse Paala

Roko Na Ise Logon Ye Maatam Hai Usi Ka

(Chehlum Hai Azaadaron, Hussain Ibn-E-Ali Ka) X2

5. Zainab Ne Bichaaya Tha Haae Farshe Azaa Ka

Is Tarah Se Chehlum Tha Shah-E-Karbobalaa Ka

Ghaazi Ko Bulaati Thi Jo Tha Sher-E-Ali Ka

(Chehlum Hai Azaadaron, Hussain Ibn-E-Ali Ka) X2

6. Be Jurm-O-Khataa Jiska Janaaza Tha Zameen Par

Insaan To Kujaa Giryaa Ye Tha Arsh Bareen Par

Zarron Mein Bikharta Hai Badan Ibn-E-Ali Ka

(Chehlum Hai Azaadaron, Hussain Ibn-E-Ali Ka) X2

7. Bosaaliya Karte The Kyun Halqoom Pe Ahmed

Khanjar Jo Chalaa Samjhi Yehi Zainab Ham Dard

Zainab Ko Zamaana Wo Yaad Aaya Nabi Ka

(Chehlum Hai Azaadaron, Hussain Ibn-E-Ali Ka) X2

8. Zainab Ne Kiya Giryaa Kahaa Mere Baraadar

Tere Baad Mere Bhaai Looti Meri Bhi Chaadar

Har Dard Sunaati Thi Musibat Ki Ghari Ka

(Chehlum Hai Azaadaron, Hussain Ibn-E-Ali Ka) X2

9. Teri Pyaari Sakina Bhi Khafaa Hogayi Ham Se

Zindaan Basaaya Or Judaa Hogayi Ham Se

Haae Mil Na Sakaa Bhayya Kafan Teri Kali Ka

(Chehlum Hai Azaadaron, Hussain Ibn-E-Ali Ka) X2

10. Ay "Bande Ali" Kar Tu Is Dar Ki Ghulaami

"Yawar" Ko Mile Maula Haan Lafzon Ki Rawaani

Be Shak Ye Aqeedah Hai Har Zindaan Dili Ka

(Chehlum Hai Azaadaron, Hussain Ibn-E-Ali Ka) X2