Write-Up
Haae Sakina, Haae Sakina, Haae Sakina, (Haae Haae Sakina) X2

(Ab Sakina Ko Chacha, Koun Bachaane Aae) X3

1. (Kya Karun Ehle Jafaa) X2 Mujhko Rulaane Aae

(Ab Sakina Ko Chacha, Koun Bachaane Aae) X2

2. Tum Nahi Aae Alam Khaali Tumhaara Aaya

Gar Ijaazat Ho Tumhaari Mere Ghayoor Chacha

(Bint-E-Shabbir Tumhe) X2 Ran Me Manaane Aae

(Ab Sakina Ko Chacha, Koun Bachaane Aae) X2

3. Raas Aai Na Sakina Ko Judaai Teri

Mein To Maanus Nahin Ranjo Alam Se Ghazi

(Karbala Aake Mujhe) X2 Ashk Bahaane Aae

(Ab Sakina Ko Chacha, Koun Bachaane Aae) X2

4. Dhal Gai Shaam Magar Ab Bhi Zameen Jalti Hai

Saans Ruk Ruk Ke Chacha Ab To Meri Chalti Hai

(Zakhmi Rukhsaar Tumhe) X2 Kaise Dikhaane Aae

(Ab Sakina Ko Chacha, Koun Bachaane Aae) X2

5. Ye Tamaachon Ke Nishaan Tum Ko Dikhaaun Kaise

Jhula-E-Asgher-E-Bashir Bachaaun Kaise

(Dashte Ghurbat Mein La’een) X2 Khaime Jalaane Aae

(Ab Sakina Ko Chacha, Koun Bachaane Aae) X2

6. Tum To Sunte Hi Nahi Ho Meri Nauha Khwaani

Mashk Mein Itna Bhi Kya Reh Na Gaya Tha Paani

(Aag Daaman Ki Mere) X2 Tum Na Bujhaane Aae

(Ab Sakina Ko Chacha, Koun Bachaane Aae) X2

7. Sharm Aati Hai Mujhe Mein Hun Bhateeji Teri

Tu Ne Saqaae Sakina Meri Ghurbat Dekhi

(Ab Mujhe Zawjae Hur) X2 Paani Pilaane Aae

(Ab Sakina Ko Chacha, Koun Bachaane Aae) X2

8. Ye Yateemon Ke Liye Khub Sazaa Hai Ammu

Baap Ka Sina To Teeron Se Bhara Hai Ammu

(Ab Sakina Ko Bhala) X2 Koun Sulaane Aae

(Ab Sakina Ko Chacha, Koun Bachaane Aae) X2

9. Sach Hai Ye Meer Takallum Ki Awqaat Na Thi

Mera Imaan Hai Ye Tera Karam Hai Ghazi

(Khuld Se Nauha Mujhe) X2 Aap Likhaane Aae

(Ab Sakina Ko Chacha, Koun Bachaane Aae) X2