Farsh E Aza
speaker_notes
Write-Up
Ye farshay aza hai Zehra ki dua hai
Majlis ka saleeqa zainab se mila hai
Ghazi ki dua lo parcham ko uthakar
Tum jaao yaha se doh ashk bahakar
Aansu hi tumharay mehshar ki baqa hai
Ye farshay aza hai Zehra ki dua hai
Majlis ka saleeqa zainab se mila hai
Azmat hai ye matam ulfat hai ye matam
Nizbat hai ye matam saadat hai ye matam
Is qalb me mere bas karbobala hai
Ye farshay aza hai Zehra ki dua hai
Majlis ka saleeqa zainab se mila hai
Aankho se nikalkar jo behtay hai aansu
Rumaal me Zehra ke rehtay hai aansu
Firdous hamari bas iski jaza hai
Ye farshay aza hai Zehra ki dua hai
Majlis ka saleeqa zainab se mila hai
Hamsheer ka armaan shabbir ka matam
Is gham me sabhi ki har aankh huwi num
Ye farsh aza ka Har ghar me bicha hai
Ye farshay aza hai Zehra ki dua hai
Majlis ka saleeqa zainab se mila hai
Barpa huwi majlis jab farshay aza per
Abid nazar aaye ghash me kahi(n) rokar
Har jinn o bashar sab masroof e buka ha
Ye farshay aza hai Zehra ki dua hai
Majlis ka saleeqa zainab se mila hai
Kis ja pe ho Asghar kehti hai sakina
Bechain tere bin rehti hai sakina
Masnad pe aza ki behna ki sada
Ye farshay aza hai Zehra ki dua hai
Majlis ka saleeqa zainab se mila hai
Shabbir ki Nusrat hai farshay aza me
Mehsus ye hoga ho karbobala me
Ek teigh ke nichay Sarwar ka gala hai
Ye farshay aza hai Zehra ki dua hai
Majlis ka saleeqa zainab se mila hai
Aey momino samjho azmat ye aza ki
Karti hai jo shirkat zehra ki sawaari
Haq me ye sabhi ke ek maa ki dua hai
Ye farshay aza hai Zehra ki dua hai
Majlis ka saleeqa zainab se mila hai
Akbar tera noha sunkar mere moula
Wo humko Tejani dikhlaengey rouza
Khadim hu mai sheh ka rutba ye mila hai
ondemand_video
Video
format_list_bulleted
More From This Album