Write-Up
(Haaye Sajjad, Haaye Sakina) x2

Mujhko apne haatho(n) se, Kaise bhayi tum, Dafnawoge

1. Is nanni sakina ne, gham kitne uthaaye
Gohar bhi chine daman, Zalim ne jhalaye
Durre bhi lage mujhko, lagte the tamachein
Behaal mera lasha, Tumko na rulaaye

Mujhko apne haatho(n) se, Kaise bhayi tum, Dafnawoge

2. Jis tarha mera baba, Haaye bekafan hai
Jis tarha se zakhmo se, Chur uska badan hai
Is shaam ke zindaan mei, Waise mera tan hai
Ye baap aur beti ki, Taqdeer kathan hai

Mujhko apne haatho(n) se, Kaise bhayi tum, Dafnawoge

3. Maloom hai dil gham se, Sailaab hai tumhara
Aankho(n) ne teri dekha, hai Shabbir ka lasha
Pabande rasan dekhe, jo zainab ko beparda
Jab dekhoge mujhko to, Phatjayenga dil bhayya

Mujhko apne haatho(n) se, Kaise bhayi tum, Dafnawoge

4. Ye khun bhari aankhein ab, Deti hai gawahi
tum aal-e-payambar ke, Dekhe ho tabaahi
Beparda haram saare, Dekhi hai khudaayi
Qismat hai ye bas meri, Zindaan ki siyaahi

Mujhko apne haatho(n) se, Kaise bhayi tum, Dafnawoge

5. Ik behn ko dafnaane, Kis bhaayi ka dil hai
Har eik musibat se, Dil dard se Hamil hai
Kis tarha se hatho se, Ik qabr banegi
Haatho(n) mei jo hai larza, Aur bandhe salasil hai

Mujhko apne haatho(n) se, Kaise bhayi tum, Dafnawoge

6. Jab dada ali ghusl, Daadi ko de rahe the
Zakho(n) ko dekh kar tab, Haider bhi rorahe the
Zakhmo se badan saara, Mera bhi bhara hai
Is khasta badan ko tum, Dafnawoge kaise

Mujhko apne haatho(n) se, Kaise bhayi tum, Dafnawoge

7. Ati hai qaza meri, Leykin hai tamanna
Zindaan ke andhero mei, Jab mujhko sulaana
Ik chhota diya meri, Turbat pe jalaana
aur ehle haram ka yu, Tum banna sahara

Mujhko apne haatho(n) se, Kaise bhayi tum, Dafnawoge

8. Ab bhi hai Tejani ye, Sakina ki guzarish
Tum meri ziyarat ki, Har dam karo kohshish
Andheron mei soti hu, Hai khamoshi ki barish
Mei baba se tumhaari, Karwa dungi bakhshish

Mujhko apne haatho(n) se, Kaise bhayi tum, Dafnawoge