Write-Up
Haider ne namaazo me jo Allah se manga
Kehte the khuda de mujhe Abbas sa beta
Wo jisko kahe sara arab Ghaziyo Jarrar

(Abbas-E-Alamdaar, Abbas-E-Alamdaar) x2

1. Tum bazuwe shabbir ho haider ke pisar ho
Lashkar ke alamdar Sakina ka jigar ho
Jitey hai(n) tumhe(n) dekh ke bas sayyede abraar

(Abbas-E-Alamdaar, Abbas-E-Alamdaar) x2

2. Paani pe alam tere siwaa kisne lagaya
Mashkize me darya ko tumhi ne hai uthaya
Tum lashkar-e-shabbir ke ho haider-e-karrar

(Abbas-E-Alamdaar, Abbas-E-Alamdaar) x2

3. Tum Fatema Zehra ki duwawo ka asar ho
Tum dhoop me Zainab ke liye misle shajar ho
Parcham ka pharayra hai tera aisa hawaadar

(Abbas-E-Alamdaar, Abbas-E-Alamdaar) x2

Ya Abbas

4. Zainab ne dam karke naade ali,
Apni rida bhayi par daaldi,
Apni rida bhayi par daaldi
Dekar duwa ghar se rukhsat kiya
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

5. Ghazi ne saahil pe rakha qadam,
Khakar sakina ke sar ki qasam,
Bharlunga is mashk me alqama
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

6. Lekin achanak ye kya hogaya,
Ghazi ka parcham larazne lagaa,
Bedast hokar giraa bawafaa
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

7. Ghazi jo zee(n) se zami(n) par ghira
Rokar Sakina se usne kaha
Sharminda Bali tera hai chacha
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

8. "Rehan" manzar wo kaise likhu(n)
Mere qalam se tapak ta hai khu(n)
Kehte the shabbir bhayi mera
Abbas Ibne Shere Khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4