Write-Up
Ya Hussain Anta Harrartal Abeed

Ya Hussain Dhikruka Saara Nasheed

Ya Hussain Qata’u Minkal Wareed

Ya Hussain Ya Ghareeban Ya Shaheed



(Ye Zameen, Asman Kehraha Hai Ya Hussain

Momino Ke Lahu Mei Behraha Hai Ya Hussain) X2



Thi Ye Sabko Khabar, Ye Jahaa(N) Sab Hai Tera

Haa(N) Magar, Ye Sila Tujhko Ummat Se Mila

Tha Tera Sara Tan, Teero(N) Se Itna Bhara

Ghirke Phir Rukgaya Teero(N) Pe Lasha Tera



(Ye Zameen, Asman Kehraha Hai Ya Hussain

Momino Ke Lahu Mei Behraha Hai Ya Hussain) X2



Anta Qurban-Ul-Ilaah, Anta Lid-Deeni Fidah

Dammukas-Saala Ulaah, Qaddasal Baari Sanaah

Ya Hussain, Ya Hussain, Sirta Lid-Dunya Manaar

Ya Hussain Ya Hussain, Dhikruka Ad’haa Shi’aar

_ _

(Ye Zameen, Asman Kehraha Hai Ya Hussain

Momino Ke Lahu Mei Behraha Hai Ya Hussain) X2

_ _

How Yazid Tried To Bury Your Name Into The Sand

Covered Up Karbala, But This Was Allah’s Command

That Hussain Will Live On In This World In Every Land

Till The End We Will Mourn Our Masters Final Stand

_ _

(Ye Zameen, Asman Kehraha Hai Ya Hussain

Momino Ke Lahu Mei Behraha Hai Ya Hussain) X2

_ _

Har Jawaa(N) Peer Ke, Dil Se Uth’ti Hai Sada

Apne Khu(N) Se Jalaaye Gham-E-Sheh Ka Diya

Zindagi Kuch Nahi(N) Gar Na Ho Sheh Ki Aza

Is Ki Khatir Karenge Ham Apni Jaa(N) Fida

_ _

(Ye Zameen, Asman Kehraha Hai Ya Hussain

Momino Ke Lahu Mei Behraha Hai Ya Hussain) X2

_ _

Jis Liye Haaye Zainab Tarapti Rehgayi

Jisliye Umr Bhar, Roya Abid Khun Bhi

Meri Maayei(N) Bahan, Wo Rida Pehna Karo

Shaam Ke Daastaa(N) Se Mila Kya Kuch Nahi(N)

_ _

(Ye Zameen, Asman Kehraha Hai Ya Hussain

Momino Ke Lahu Mei Behraha Hai Ya Hussain) X2

_ _

Dars Ye Milraha Hai Hamme Abbas Se

Apne Bazu Agar, Jism Se Dono Kate

Jism Se Khu(N) Ka Darya Agar Behta Rahe

Bas Hamesha Hussai(N) Pe Wafa Jari Rahe

_ _

(Ye Zameen, Asman Kehraha Hai Ya Hussain

Momino Ke Lahu Mei Behraha Hai Ya Hussain) X2

_ _

Shaam Mei Haaye Bechayn Dil Zainab Ka Tha

Chahti Thi Ke Matam Kare Shabbir Ka

Haa(N) Magar Khu(N) Mei Tar Haath The Gardan Passé

Dekh Ke Uski Majboori Bola Ye Khuda

_ _

(Ye Zameen, Asman Kehraha Hai Ya Hussain

Momino Ke Lahu Mei Behraha Hai Ya Hussain) X2

_ _

Anta Harrartal Abeed, Dhikruka Saara Nasheed

Qata’u Minkal Wareed, Ya Ghareeban Ya Shaheed

Ya Hussain Ya Hussain, Bismika Ad-Dunya Tadoor

Ya Hussain Ya Hussain, Qabrukaz-Zaahi Yanoor

_ _

(Ye Zameen, Asman Kehraha Hai Ya Hussain

Momino Ke Lahu Mei Behraha Hai Ya Hussain) X2

_ _

Ye “Tejani” Sada Hai Hamare Khun Ki

Dil Mei Aur Ankh Mei, Karbala Bas Hai Basi

Tera Matam Nahi(N) Ruksakega Ab Kabhi

Jo Rukawat Hai Ham, Tor Dalege Sabhi



(Ye Zameen, Asman Kehraha Hai Ya Hussain

Momino Ke Lahu Mei Behraha Hai Ya Hussain) X2