Write-Up
Allahuma ar-zukna ziyarat al-Hussain

(Karbala mei bula, apna roza dikha, ya shahe karbala) x3

Us jaga pe rakhenge hum apni jabin
Choom ke khaak ko hoga humko yaqin
Ye wohi khaak hai, ye wohi sar zamin
Mere aqa hussain ab hume do sada, ya shahe karbala

(Karbala mei bula, apna roza dikha, ya shahe karbala) x2

Jis jaga pe gira tha tera bawafa
Akhri saans mei jisne di ye sada
Is jaga se hatawo na lasha mera
Humko hai dekhna, wo lab-e al qama

(Karbala mei bula, apna roza dikha, ya shahe karbala) x2

Jis zameen pe para tera karyal jawaa(n)
Khaake apne jigar me wo haaye sinaa(n)
Tumko akbar ka hum dege pursa wahaa(n)
Aur wahaa(n) har gari, ham karege aza

(Karbala mei bula, apna roza dikha, ya shahe karbala) x2

Nanna saw o gala jis jaga chhidgaya
Aur tha uska khun tere mu(n) pe mala
Suwe khayma khari, maa(n) ne di ye sada
Paani ka ghunt bhi kya mayyasar huwa

(Karbala mei bula, apna roza dikha, ya shahe karbala) x2

Bepisar maon ko, maula dede pisar
Jiske dil mei dua hai wo maqbool kar
Hai ye sabko yaqee(n), hai ye sabko khabar
Tu hai mushkil kusha, tu hai hajat rawaa

(Karbala mei bula, apna roza dikha, ya shahe karbala) x2

Maula Abid ka hai, aapko wasta
Ladawa jo mareez, hai unhe de shifa
Humko hai asra, har gardi aapka
Aapka naam hi hai bara mojeza

(Karbala mei bula, apna roza dikha, ya shahe karbala) x2

Tere roze pe jab jayengi ye nazar
Ashk behta rahenga tere naam par
Roenge kehke ye, dil ko hum thaam kar
Humko hai ye yaqin khuld hai karbala

(Karbala mei bula, apna roza dikha, ya shahe karbala) x2

Aake dekhenge hum maula tera mazaar
Lab pe us pal tejani ki hogi pukaar
Hochuka hai tamam maula ab intizaar
Ab yahan chaho to, dedo humko qaza

(Karbala mei bula, apna roza dikha, ya shahe karbala) x2