Write-Up
Raavi Bayaan Karta Hai Pur Dard Waaqea
Ehle Haram Ka Qaafela Jab Shaam Ko Chala
Who Neza Jispe Tha Sare Mazloome Karbala
Naagaah Ik Muqaam Par Aakar Theher Gaya
Aawaaz Di Bahan Ko Qayamat Guzar Gayi
Zainab Meri Sakina To Naake Se Gir Gayi
Zainab Sukhan Ye Sunke Imame Gharib Ka Bechain Hoke Phir Ti Thi Sehra Mei Jaa
Bajaan
Dekha Ke Ik Zaeefa Hai Aafat Mei Mubtila
Godi Mei Uski Sar Hai Sakina Ka Yun Rakha
Kehti Hai Tu Jahaan Hai Meri Jaan Wahaan Hun Mei
Mat Ghair Mujko Jaaniyo Zainab Ke Maa Hun Mei
Zainab Ne Maa Ko Dekh Ke Be Saakhta Kahaa
Amma Kahaan Thi Tum
Are Kat Taa Tha Jis Gari Mere Shabbir Ka Gala
(Amma Kahaan Thi Tum) X6
1. Amman Na Baazuon Pe Mere Tum Nazar Karo
Baalon Se Apna Chehra Chupaae Hu Dekhlo
Itna Bataao Ghore Se Abbas Jab Gira
(Amma Kahaan Thi Tum) X4
2. Ik Do Ka Gham Nahi Hai Bahattar Ka Daagh Hai
Gere Zamine Karbobala Har Charaag Hai
Jab Gul Charaage Panjatane Paak Hogaya
(Amma Kahaan Thi Tum) X4
3. Barchi Sitam Ki Sinaae Akber Mei Jab Lagi
Dam Tor Te Jawaan Ko Maa Dekhti Rahi
Jab Mit Rahi Thi Dasht Mei Tasweere Mustafa
(Amma Kahaan Thi Tum) X4
4. Do Laal Mere Auno Mohammad The Jinke Naam
Pyaase The Dono Qatl Huwe Dono Tashna Qaam
Sadqa Jab Apne Bhai Pe Maine Unhe Kiyaa
(Amma Kahaan Thi Tum) X4
5. Asghar Sa Sheer Khwaar Tarap Taa Guzar Gaya
Maasum Bezubaan Ko Paani Nahi Mila
Cheda Gaya Tha Teer Se Asghar Ka Jab Gala
(Amma Kahaan Thi Tum) X4
6. Zainab Ke Bain Sunke Pukaari Who Dil Fighaar
Paigam Nasida Tujpe Ho Madar Teri Nisaar
Mei Saath Saath Hun Tere Tune Ye Kya Kahaa
(Amma Kahaan Thi Tum) X4
7. "Rehan Azmi" Teri Bakshish To Hashr Mei
Mumkin Hai Sayyada Se Ye Binte Ali Kahe
Jab Kabr Mei Raihaan Pe Mushkil Ka Waqt Tha
(Amma Kahaan Thi Tum) X4