Write-Up
(Haae Sajjad Haae Bimaar) X3
(Sunta Nahi Hai Koi Bimaar Ki Sadaae) X2
1. (Zaalim Huwa Zamana) X2 Bedard Hai Hawaae
(Sunta Nahi Hai Koi Bimaar Ki Sadaae) X2
2. Bhaai Ko Apne Roye Matam Kare Padar Ka, Har Ik Kadam Hai Mushkil Us Shaam Ke Safar Kaa, (Sajjad Karbala Mei) X2 Kis Kis Ka Gham Manaae
(Sunta Nahi Hai Koi Bimaar Ki Sadaae) X2
3. Ek Jhula Jal Raha Hai Maasum Bezubaan Ka, Jhule Ke Saath Dekho Dil Jal Gaya Hai Maa Ka, (Aazaad Haath Hon To) X2 Jhule Ko Who Bhujaae
(Sunta Nahi Hai Koi Bimaar Ki Sadaae) X2
4. Zainab Ki Ye Dua Hai Karbobala Ke Ban Mei, Laashe Pare Na Dekhe Sajjad Jaake Ran Mei, (Aakar Jalaal Mei Ye) X2 Talwaar Naa Uthaae
(Sunta Nahi Hai Koi Bimaar Ki Sadaae) X2
5. Sab Kunbaa Kat Gaya Hai Tanhaa Khare Hai Maula, Aankhon Ke Saamne Hai Sibte Nabi Ka Laasha, (Kunbe Pe Mustafa Ke) X2 Umaat Ne Ki Jafaae
(Sunta Nahi Hai Koi Bimaar Ki Sadaae) X2
6. Har Majlise Azaa Mei Bimaar Mera Maula, Aata Hai Khun Bahaane Aankhon Se Pane Dilka, (Har Matami Ko Apne) X2 Deta Hai Who Duaae
(Sunta Nahi Hai Koi Bimaar Ki Sadaae) X2
7. Hasrat Hai Eik Dil Mei Jis Roz Ho Qayamat, Nauho Ki Ho Azaane Matam Ki Ho Akaamat, ("Rehan Azmi" Ham) X2 Nawha Yehi Sunaae
(Sunta Nahi Hai Koi Bimaar Ki Sadaae) X2