Write-Up
(Ghazi Ke Baad Misle Alamdaar Thi Zainab) X2
1. Khud Qaafela Aur Qaafela Saalaar Thi Zainab
(Ghazi Ke Baad Misle Alamdaar Thi Zainab) X2
Jab Fouje Huseini Ka Alam Daar Margaya
Mashkiza Khun Mei Baali Sakina Ka Bhar Gaya
Lashkar Uduu Ka Laashon Ko Paamaal Kar Gaya
Karbobala Ka Dard Se Chehra Utar Gaya
(Mouje Faraat) X3 Ranj Ka Ehsaas Bangayi
Zainab Alam Ko Thaamke Abbas Bangayi
2. Daaman Se Ashk Ponch Ke Haider Ki Laadli
Lekar Haram Qaafela Yun Shaam Ko Chali
Tewar Who The Ke Jaafaare Tayyaar Thi Zainab
(Ghazi Ke Baad Misle Alamdaar Thi Zainab) X2
3. Chadar Nathi To Baalon Ko Chadar Banaa Liya
Khutbon Ko Dil Malul Ne Khanjar Banaa Liya
Abbas Ke Jalaal Ka Izhaar Thi Zainab
(Ghazi Ke Baad Misle Alamdaar Thi Zainab) X2
4. Haider Ki Guftugu Ka Sarapa Bani Huwi
Abbas Ke Alam Ka Phareraa Bani Huwi
Bachon Ke Haq Mei Saayaae Diwaar Thi Zainab
(Ghazi Ke Baad Misle Alamdaar Thi Zainab) X2
5. Ponchi Dayaare Shaam Mei Haider Ki Shaan Se
Naade Ali Ka Wird Tha Jaari Zubaan Se
Soya Huwa Tha Waqt To Bedaar Thi Zainab
(Ghazi Ke Baad Misle Alamdaar Thi Zainab) X2
6. Khutbon Se Apne Takhte Yazidi Hilaa Diya
Zaalim Ka Taaj Pairon Mei Apne Giraa Diya
Kehne Ko Ranjo Gham Mei Giraftaar Thi Zainab
(Ghazi Ke Baad Misle Alamdaar Thi Zainab) X2
7. Aayi Palat Ke Shaam Se Karbobala Mei Jab
Dekha Ke Jalti Ret Pe Laashe Pare Hai Sab
Deti Kafan Kahaan Se Ke Laachaar Thi Zainab
(Ghazi Ke Baad Misle Alamdaar Thi Zainab) X2
8. "Rehan" Farshe Gham Jo Bichaa Hai Hussein Ka
Matam Jo Do Jahaan Mei Bapaa Hai Hussein Ka
Dunya Mei Pehli Sheh Ki Azadar Thi Zainab
(Ghazi Ke Baad Misle Alamdaar Thi Zainab) X2