Write-Up
Halminasir Yansuruna X 4

(Pardesi Musafir Ki Purdard Kahani Hai) X2

(Kuch Sehme Huye Bache) X2

Behta Huwa Pani Hai

(Pardesi Musafir Ki Purdard Kahani Hai) X2

Ay Karbobala Tere,

Daman Mein Chupa Kya Kya,

(Bachpan Ali Asger Ka) X2

Akber Ki Jawaani Hai

(Pardesi Musafir Ki Purdard Kahani Hai) X2

Taabut, Alam, Jula,

Pani Ki Sabile Bhi,

(Jis Simt Nazar Jaaye) X2

Pyaaso Ki Nishani Hai

(Pardesi Musafir Ki Purdard Kahani Hai) X2

Mansoob Alam Se Jo,

Ek Mashke Sakina Hai,

(Amu Se Bhatiji Ki) X2

Ulfat Ki Nishaani Hai

(Pardesi Musafir Ki Purdard Kahani Hai) X2

Ansoo Na Ruke Logo,

Shabbir Ki Majlis Mein,

(Us Ujre Huye Gar Ki) X2

Yu Yaad Manaani Hai

(Pardesi Musafir Ki Purdard Kahani Hai) X2

Shabbir Ye Kehte The,

Mein Kaise Ijazat Du,

(Ay Qasim Tu Mere) X2

Bhayi Ki Nishaani Hai

(Pardesi Musafir Ki Purdard Kahani Hai) X2

Ye Laashaye Akber Par,

Layla Ne Kahan Ro Kar,

(Kyu Khoon Me Tar Teri) X2

Poshak Shahani Hai

(Pardesi Musafir Ki Purdard Kahani Hai) X2

De Te The Sadaa Sarwar,

Abbas Chale Aawo,

(Mayat Ali Akber Ki) X2

Ab Mujko Uthani Hai

(Pardesi Musafir Ki Purdard Kahani Hai) X2

Rota Hai Falak Ab Tak,

Shabbir Tere Gham Mein,

(Dunya Ye Samaj Ti Hai) X2

Barsaat Ka Paani Hai

(Pardesi Musafir Ki Purdard Kahani Hai) X2

Sheh Bole Bahan Zainab,

Zindaa Se Riha Ho Kar,

(Rudaade Sitam Jaakar) X2

Amma Ka Sunani Hai

(Pardesi Musafir Ki Purdard Kahani Hai) X2

Ey Mere Khuda Tujse,

Har Waqt Duwa Ye Hai,

(Maula Ki Safay Matam) X2

Har Gar Mein Bichani Hai

(Pardesi Musafir Ki Purdard Kahani Hai) X2

(Kuch Sehme Huye Bache) X2

Behta Huwa Pani Hai