Write-Up
Bicha Ke Farshe Azaa

Fatema Ko Yaad Karo

(Alam Sajaawo Kisi Be Rida Ko Yaad Karo) X2

Siyah Kapre Badan Par Ho Sirf Is Gham Mein,

Ruke Na Ankh Se Ansoo Kabhi Muharram Mein,

(Libas Se Hazrate Zainul Aba Ko Yaad Karo) X2

(Alam Sajaawo Kisi Be Rida Ko Yaad Karo) X2

Kabhi Sabil Se Pani Piyo To Ye Kehkar,

Me Teri Pyas Pe Kurban Husain Ki Dukhtar,

(Kabhi Sakina Kabhi Ba Wafaa Ko Yaad Karo) X2

(Alam Sajaawo Kisi Be Rida Ko Yaad Karo) X2

Gale Mein Shale Azaa Aur Hath Sino Par,

Alam Utha Ke Chalo Yu Dahekte Sholo Par,

(Jo Bekaso Pe Huwi Us Jafaa Ko Yaad Karo) X2

(Alam Sajaawo Kisi Be Rida Ko Yaad Karo) X2

Jula Julawo Kisi Be Zabaan Ka Jab Bhi,

To Yaad Karna Zara Be Kasi Wo Banu Ki,

(Kabhi Rubab Ki Aaho Buka Ko Yaad Karo) X2

(Alam Sajaawo Kisi Be Rida Ko Yaad Karo) X2

Ghame Husain Mila Hai Tumhe Mukadar Se,

Sadaa Husain Ke Matam Ki Aaye Ghar Ghar Se,

(Husain Husain Karo Karbela Ko Yaad Karo) X2

(Alam Sajaawo Kisi Be Rida Ko Yaad Karo) X2

Wo Jisne Din Ke Khatir Luta Diya Gar Ko,

Khuda Ki Raah Me Jisne Kataa Diya Sar Ko,

(Par Ho Namaaz To Us Be Khataa Ko Yaad Karo) X2

(Alam Sajaawo Kisi Be Rida Ko Yaad Karo) X2

Alam Jo Hazrate Abbas Ka Utha Te Hai,

Dile Batul Se Lakho Duwae Paate Hai,

(Alam Ka Saye Mein Awo Duwa Ko Yaad Karo) X2

(Alam Sajaawo Kisi Be Rida Ko Yaad Karo) X2

Kabhi Ye Shoch Ke Tum Dekhna Pharere Ko,

Yahi To Zainabe Muztar Ki Aas Tha Logo,

(Alam Ko Dekho To Us Berida Ko Yaad Karo) X2

(Alam Sajaawo Kisi Be Rida Ko Yaad Karo) X2

Bahen Ke Samne Dulha Bane Koi Bhayi,

Jo Apne Bhayi Ka Sehra Na Dekhne Paye,

(Usi Gharib Behen Ki Sadaa Ko Yaad Karo) X2

Khuda Na Khasta Kismat Ye Din Jo Dikhlaye,

Kisi Jawan Ko Jawani Mein Maut Ajaaye,

(To Hum Shabihe Nabi Ki Kazaa Ko Yaad Kare) X2