Qasim (As) Ki Lash Ati Hai, Akbar(As) Kay Samnay

Write-Up
Qasim(As) Ki Lash Ati Hai, Akbar(As) Kay Samnay
Ghar Lut Gaya Bahan Ka, Baradar Kay Samnay


1- Dastur Hai Arab Ka Kahi Jang Ho Agar
Talwaray Loat Jati Hai Dulhay Ko Deakh Kar
Dastur Aj Kuch Nahi, Laskar Kay Samnay

2- Kubra Ko Akay Lash E Qasim(As) Pay Deakna
Akbar(As) Kay Wastay Hai Bara Sakht Marhala
Ab Kis Tarha Wo Jaay Ga, Kowhar Kay Samnay

3- Gul Hogay Chirag E Hassan Deakhti Rahi
Qasim(As) Ki Lash Dhonnay Mai Sath Thi Teray
Kya Ho Raha Hai Zainab(As) E Mustar Kay Samnay

4- Abbas Pahlay Jaay Ya Akbar(As) Ko Bhaij Du
Qasim(As) Pukaray Shah Say Mai Jo Yateem Huu
Hazir Ho Phalay Sir Mera Dawar Kay Samnay.

5- Qasim(As) Kay Sath Lash E Akbar(As) Ka Aina
Ahsas Ko Yea Aks Dikha Kar Guzar Gaya
Lash E Hassan Hai Lashay Payambar Kay Samnay

6- Akbar(As) Ko Jo Lagi Wo Sina Khactay Howay
Qasim(As) Ki Lash Dhoonay Mai Sath Thi Teray
Har Pal Tha Ay Hussain Tuu Madar Kay Samnay

7- Bibi Duaa Hai John Ki Akbar(As) Kay Wastay
Har Matimi Ki Khusbo E Shabbar Kay Wastay
Izzat Barhana Dawar E Mahshar Kay Samnay