Write-Up
Bat To Sin Say Siwa Kar Gaay, Zainab(As) Kay Pisar



Bat To Sin Say Siwa Kar Gaay, Zainab(As) Kay Pisar
Jaan Mamu Pay Fida Kar Gaay, Zainab(As) Kay Pisar



1- Sin May Chotay Thay Magar Azam Tha Allah Allah

Bhagnay Ka Kisi Badnasal Ko Moqa Na Diya

Haq Ghulami Ka Ada Kar Gaay, Zainab(As) Kay Pisar



2- Cha Gaay Sham Kay Laskar Par Ba Andaz E Ali

Yaad Phir Hamla E Jaffar Ki Sabhi Ko Aii

Shan Say Wada Wafa Kar Gaay, , Zainab(As) Kay Pisar



3- Jang E Khaibar Kay Nazar Anay Lagay Nazara

Sham Ki Fojo May Dar Aay Ali Kay Pyaray

Hashar Maidan May Bapa Kar Gaay , Zainab(As) Kay Pisar



4- Aa Kay Maidan May Khaimo Ki Taraf Ruk Na Kiya

Alkam Cheen Kay Mojo Ki Taraf Ruk Na Kiya

Jo Tha Zainab(As) Nay Kaha Kar Gaay, , Zainab(As) Kay Pisar



5- Jurrat Shair E Khuda Fauj Ko Dikhanay Kay Bad

Chand Say Sino Pay Sham Shiro Sina Khanay Kay Bad

Khud Ko Mamu Pay Fida Kar Gaay , Zainab(As) Kay Pisar



6- Hai Maidan E Wiga Ka Wo Sulagta Manzar

Kab Talak Jang Bhi Kartay Wo Bhala Tisna Jigar

Hai Piyasay Hi Qaza Kar Gaay



7- Kitni Uchai Pay Hai Fikar O Kalam Ka Jalwa

Is Ka Idrak Ali Sab Ko Nahi Hosakta

Auj Daaim Ko Ata Kar Gaay , Zainab(As) Kay Pisar