Write-Up
Kulsum Ne Mehmil Ke Jo Parde Ko Uthaya

(Yasrab Nazar Aaya) X4


(Apna Tha Watan Aur) X3

Paraya Nazar Aaya

Kulsum Ne Mehmil Ke Jo Parde Ko Uthaya

(Yasrab Nazar Aaya) X2


1. Muu Dhamp Ke Rone Lagi Ahmed Ki Nawaasi,

Viraan Taro Baam Kay Allah Yai Udasi,

(Ujra Bani Hashim Ka) X3

Mohalla Nazar Aaya


Kulsum Ne Mehmil Ke Jo Parde Ko Uthaya

(Yasrab Nazar Aaya) X2


2. Wo Galiya Jaha Aun O Muhammad Kabhi Khele,

Abdulla Wahaa Phirte Thay Khamosh Akele,

(Har Simt Me Bacho Ka) X3

Sarapa Nazar Aaya


Kulsum Ne Mehmil Ke Jo Parde Ko Uthaya

(Yasrab Nazar Aaya) X2


3. Sugra Ne Khabar Payi Ke Lawt Aaye Musafir,

Khush Hogayi Roze Pe Nabi Kay Kiya Hazir

(Kya Socha Tha Sugra Ne) X3

Use Kya Nazar Aaya


Kulsum Ne Mehmil Ke Jo Parde Ko Uthaya

(Yasrab Nazar Aaya) X2


4. Ujri Huwi Har Maang Ti Har God Thi Khali,

Asger Ka Shalo Ka Tha Sakina Ki Thi Baali,

(Abbas Ka Parcham Bhi) X3

Akela Nazar Aaya


Kulsum Ne Mehmil Ke Jo Parde Ko Uthaya

(Yasrab Nazar Aaya) X2


5. Jis Waqt Ruki Nana Ke Roze Pay Amaari,

Nakay Say Giri Khak Pe Wo Dard Ki Maari,

(Rota Huwa Nana Ka) X3

Jo Chehra Nazar Aaya


Kulsum Ne Mehmil Ke Jo Parde Ko Uthaya

(Yasrab Nazar Aaya) X2


6. Sugra Ne Kaha Amaa Se Ku Goad Hai Khali,

Ek Aaha Bhari Banu Ne Kuch Muu Se Na Boli,

(Rone Lagi Jalta Huwa) X3

Jula Nazar Aaya


Kulsum Ne Mehmil Ke Jo Parde Ko Uthaya

(Yasrab Nazar Aaya) X2


7. Bin Bhai Kay Dakhil Huwi Jo Apne Hi Gar Me,

Gash Aagaya Takat Na Rahi Kalbo Jigar Mein,

(Be Goro Kafan Bhai Ka) X3

Laasha Nazar Aaya


Kulsum Ne Mehmil Ke Jo Parde Ko Uthaya

(Yasrab Nazar Aaya) X2


8. Ujre Me Nazar Aaye Nahi Qasimo Akber,

Kehne Lagi Mein Chor Gayi Thi Ye Bhara Gar,

(Ghar Kabr Ke Mahol Mein) X3

Dhalta Nazar Aaya


Kulsum Ne Mehmil Ke Jo Parde Ko Uthaya

(Yasrab Nazar Aaya) X2


9. Bistar To Waha Awno Muhammad Ke Saje The,

Aur Taak Mein Asgher Ke Khilone Bhi Rakhe The,

(Lekin Na Koyi Khelne) X3

Waala Nazar Aaya


Kulsum Ne Mehmil Ke Jo Parde Ko Uthaya

(Yasrab Nazar Aaya) X2