Write-Up
(Yabna Jaffar, Abur-Raza) X2 (Abur-Raza) X2


(Ya Musa-E-Kazim) X2



Tu Saatwa Mushkil Khusha, Noor-E-Janaab-E-Sayyeda


(Ya Musa-E-Kazim) X4



Tere Baba Imam-E-Sadiq Hai

Jiske Dam Se Hai Jaffari Sare

Deen-O-Mazhab, Sabi Ibadat Hai

Ham To Saray Usi Ke Dar Se Mile



Tu Saathwa Mushkil Khusha, Noor-E-Janaab-E-Sayyeda (Ya Musa-E-Kazim) X2



Hai Qaramat-E-Murtaza Tujhme

Saa’ilo(N) Kay Liyea Ata Tujhme

Rad Jo Hoti Nahi Kisi Surat

Saans Leti Hai Wo Dua Tujhme



Tu Saathwa Mushkil Khusha, Noor-E-Janaab-E-Sayyeda (Ya Musa-E-Kazim) X2



Tum Bhi Hajat Rawa-E-Alam Ho

Haideriyyat Kay Azm-E-Mauqam Ho

Tum Dua-E-Janab-E-Zahra Sey

Pursadar-E-Janab-E-Adam Ho



Tu Saathwa Mushkil Khusha, Noor-E-Janaab-E-Sayyeda (Ya Musa-E-Kazim) X2



Bas Junoon-O-Jabal Jilawatni

Tere Pyaaro(N) Nay Tujhse Hai Paayi

Kitne Dana Hai Terey Diwane

Umr Bhar Teri Nokri Karli



Tu Saathwa Mushkil Khusha, Noor-E-Janaab-E-Sayyeda (Ya Musa-E-Kazim) X2



Almadad (Maula Raza) X3


Tera Beta Imam-E-Zamin Hai

Jiske Qabze Mei Raat Hai Din Hai

Wo Khurasaan Ka Hai Shehzada

Har Shifa Uske Dar Pe Mumkin Hai

Tu Saathwa Mushkil Khusha, Noor-E-Janaab-E-Sayyeda (Ya Musa-E-Kazim) X2



Teri Dukhtar Hai Qum Ki Shehzaadi

Uski Chowkat Pe Day Sada Jo Bhi

Joliyaa(N) Apni Bhar Ke Laata Hai

Ghamse Milti Hai Usko Aazaadi



Tu Saathwa Mushkil Khusha, Noor-E-Janaab-E-Sayyeda (Ya Musa-E-Kazim) X2



Terey Taboot Ki Wo Tanhaayi

Na Tha Beta Ghareeb Na Bhaayi

Chand Mazboor Aye Ujrat Par

Lash Raste Se Teri Uthwaayi



Tu Saathwa Mushkil Khusha, Noor-E-Janaab-E-Sayyeda (Ya Musa-E-Kazim) X2



Hay Najaf Dushmano(N) Ke Narghe May

Karbala Samara Ke Rastey May

Bekafan Momino(N) Kay Laashe Hai

Kufr Dakhil Howa Madiney May



Tu Saathwa Mushkil Khusha, Noor-E-Janaab-E-Sayyeda (Ya Musa-E-Kazim) X2



Maula Tu Bhi Dar-E-Hawaaij Hai

Tera Sikka Jahaa(N) May Raa’ij Hai

Ham To Har Imtihaa(N) Se Guzrange

Deney Wala Tuhi Nata’ij Hai



Tu Saathwa Mushkil Khusha, Noor-E-Janaab-E-Sayyeda (Ya Musa-E-Kazim) X2



Tu Bhi "Rehan" Istighasa Kar Kay

Kehke Ya Musa Ya Bin-E-Jafar

Nauha Goyi Karu Qayamat Tak

Aur Ghulaami Karu Dar-E-Shah Par



Tu Saathwa Mushkil Khusha, Noor-E-Janaab-E-Sayyeda (Ya Musa-E-Kazim) X2

(Yabn-E-Jaffar Abur-Raza) X2 Abur-Raza