Write-Up
Boli Khatun-E-Jina, Yani Shabbir Ki Maa(N), Mera Bacha Hai(N) Kahaa(N)
Zuljanah Ay Zuljanah, Mera Bacha Hai(N) Kahaa(N), Mera Bacha Hai(N) Kahaa(N)

Zuljanah Ay Zuljanah

1-Lay Gaya Ghar Se Ek Pyaase Ko, Rab Ke Mehboob Ke Nawase Ko, Chor Ker Aagaya

Laeeno Me, Gham Zada Maa Ke Tu Assase Ko. Dhund Ne Jawu(N) Use, Is Andhere Me

Kaha(N), Mera Bachaa Hai(N) Kaha(N)

(Zuljana Ay Zuljana Mera Bacha Hai(N) Kaha(N)) X2

2-Jis Ne Lashe Uthaye The Din Bhar, Khune Asghar Tha Jiske Chehre Par, Zakhme

Akbar Ki Thi Anni Dil Me, Bhayi Ki Gham Me Jhuk Gayi Thi Kamar, Khaak Urhaate

Hai Nabi, Hai Ali Mehve Fughaa, Mera Bacha Hai(N) Kahaa(N)

Zuljana Ay Zuljana (Mera Bacha Hai(N) Kaha(N)) X2

3-Raqibe Dosh Mustafa Tha Wo,Tujhko Bachpan Se Chahata Tha Wo, Saath Kyu(N)
Aaj

Uska Chor Diya, Jabke Mushkil Me Agaya Tha Wo, Bewafayi Ka Sabab, Kya Karu(N)

Tujhko Bayaa(N), Mera Bacha Hai(N) Kahaa(N)

4- Tere Mathe Pe Khun Hai Kiska, Rang Khu(N) Ye Tere Sawaar Ka Tha, Hai Mere
Shir

Ki Mehek Usme, Kampta Hai Alam Se Dil Mera, Bol Khamosh Hai Kyu(N), Tere

Asu(N) Hai Rawaa, Mera Bacha Hai(N) Kahaa(N)

Zuljana Ay Zuljana (Mera Bacha Hai(N) Kaha(N)) X2

5-Jo Teri Pyaas Par Udaas Raha, Ho Ke Paani Ki Aaspaas Raha, Phir Bhi Paani

Piyaa Nahi Usne, Teri Khatir Wo Mehwe Yaas Raha, Khushk Tha Uska Ghala, Khushk

Thi Uski Zabaa(N), Mera Bacha Hai(N) Kahaa(N)

Zuljana Ay Zuljana (Mera Bacha Hai(N) Kaha(N)) X2

6-Kaise Soyegi Ladli Uski, Jisko Sine Pa Neend Aati Thi, Jisne Roka Tha Tujhko

Jaate Huwe, Kya Kahega Agar Wo Puchhegi, Samna Uska Na Kar, Roke Dedegi Wo

Jaa(N), Mera Bacha Hai(N) Kahaa(N)

Zuljana Ay Zuljana (Mera Bacha Hai(N) Kaha(N)) X2

7-Qalb Zainab Kahee(N) Fighar Na Ho, Dilpe Ehle Haram Ke Waar Na Ho, Tu Jo

Khayme Me Jayenga Khali, Kon Hai Jo, Ke Soghwaar Na Ho, Tu Jo Jaayega

Wahaa(N), Hashr Ka Honga Samaa(N), Mera Bacha Hai(N) Kahaa(N)

Zuljana Ay Zuljana (Mera Bacha Hai(N) Kaha(N)) X2

8- Na Gawaa Sar Sina Pe Aayaa Nazar, Zikre Khaliq Tha Jiske Honto Par, Thaam
Kar

Dil Larazte Haatho(N) Se, Boli "Rehan", Madare Sarwar, Tujhse Ay Aspe Jhari,

Ab Na Puchengi Ye Maa(N), Mera Bachha Hai Kahaa(N),

Zuljana Ay Zuljana (Mera Bacha Hai(N) Kaha(N)) X2