Write-Up
(Sayyeda Zahra) X4



(Zahra Kay Masaib Ka Unwan Saqeefa Hai) X2


(Zainab Ki Aseeri Ka) X2 Saman Saqeefa Hai


(Zahra Kay Masaib Ka Unwan Saqeefa Hai) X2



(Tareekh Bhi Shahid Hai Bibi Ko Kia Zakhmi) X2
Pahloo E Shikasta Ka Paikan Saqeefa Hai



(Zahra Kay Masaib Ka Unwan Saqeefa Hai) X2



(Jis Qasr E Adalat Main Ana Para Zahra Ko) X2
Us Qasr E Najasat Ki Pahchan Saqeefa Hai



(Zahra Kay Masaib Ka Unwan Saqeefa Hai) X2


(Darwaza Jala Logon Mohsin Na Raha Zinda) X2
Har Zulm Kay Parday Main Shaitan Saqeefa Hai



(Zahra Kay Masaib Ka Unwan Saqeefa Hai) X2


(Siffeen O Jamal Dekho Or Karb O Bala Dekho) X2
Har Haq Kay Muqabil Ka Ailan Saqeefa Hai


(Zahra Kay Masaib Ka Unwan Saqeefa Hai) X2


(Dekho Dil E Momin Main Zinda Hai Hussain Ab Tak) X2
Tareekh Kay Safhon Main Bejan Saqeefa Hai


(Zahra Kay Masaib Ka Unwan Saqeefa Hai) X2


(Abbas Aur Aey Majid Jo Haal E Musalman Hai) X2
Is Haal Pay Lanay Ka Saman Saqeefa Hai