Write-Up
Ay Muslamaa(N) Kash Socha Hota Kay Mohammed Ka Nawasa Hai Yeh



Halate Sajda Me Hai Bekaso Majboor Bhi

Aur Kai Roz Ka Pyaasa Hai Yeh



Aqal Heyraa(N) Thi Isay Banda Kay Rehman Kahey

Nokay Nayza Pe Ise Bolta Quran Kahey

Ya To Rab Hai Jokay Bande Sa Nazar Aata Hai

Ghar Hai Insaa(N) To Khuda Sa Hai Yeh



Boli Zainab Zulm Shabbir Pe Dhanay Walo

Patharo(N) Kay Tale Mayyat Ko Chupane Walo

Hay Kaandey Pe Uthathey The Jinhe Khatme Rusul

Mere Us Bhai Ka Laasha Hai Yeh



Jis Ka Ghazi Na Raha Aur Ali Ali Akbar Na Bacha

Bhai Ki Laash Pay Khulke Jisay Ronay Na Diya

Aaj Matam Sare Bazaar Jo Hum Karte Hay

Issi Zainab Ka Dilasa Hai Yeh



Sayyedon Ka Bhara Ghar Baar Jalaya Kyu Hai

Bibiyon Kon Sare Bazaar Phiraya Kyu Hai

Tune Toh Yeh Bhi Na Socha Kai Jo Qaidi Hai Bane

Paak Zahra Ka Asasa Hai Yeh



Main Hun Zainab Mujhe Haider Ko Samajta Kyu Hain

Sun Kay Khutba Mera Mal’oon Bigarta Kyu Hai

Boli Zainab Kay Yeh Khutba Hi Na Hi Sun Ay Yazid

Paak Quran Ka Khulasa Hai Yeh



Saaniye Zahra Ki Akhtar Yeh Ataa Hai Tujhko

Noha Likhne Ke Liye Dard Mila Hai Tujh Ko

Tere Alfaz Mai Hai Fatema Zahra Ki Dua

Tere Andaaz Judasa Hai Yeh