Maula Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain

Write-Up
(Ya Imam) X8

(Ya Hussain) X6



Maula Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain



Wo Aabide Beemar Tha, Chalne Se Jo Lachaar Tha

Aur Shaam Ka Bazaar Tha, Aur Mustafa Ki Betiyaa



Maula Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain



Shabbir Ki Wo Laadli, Sine Pe Jo Shah Ke Pali

Jiski Abaa Ban Me Jali, Moo Per Tamacho Ke Nishaa



Maula Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain



Shaame Gharibaa Aaghayi, Aabid Ko Ghairat Khaagayi

Pehre Pe Zainab Aaghayi, Abbas Or Akber Kaha



Maula Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain



Roker Kahe Qassim Ki Maa, Mara Gaya Qassim Jawaan

Ay Laal Mei Dhundhu Kaha, Bewa Ka Tha Jo Aasra



Maula Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain



Qassim Jawaan Mara Ghaya, Pamaal Bhi Lasha Huwa

Shehne Kiye Tukre Jamaa, Roti Rahi Qassim Ki Maa



Maula Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain



Wo Asghare Besheer Tha, Aur Hurmala Ka Teer Tha

Pyasa Ghala Kyu Kar Kata, Royi Zamee Aur Aasmaa



Maula Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain



Wo Zainabo Kulsoom Thi, Chaader Se Jo Mehroom Thi

Na Mehramo Ke Darmiyaa, Aur Murtaza Ki Betiyaa



Maula Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain



Pyaase Gale Khanjar Chale, Chaader Chini Khaime Jale

Abbas Ke Parcham Tale, Rokar Kahe Ye Bibiya



Maula Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain



Wo Bawafa Abbas Tha, Phupiyo Ki Jo Eik Raas Tha

Paani Mila Jo Na Piya, Masoom Ka Ehsaas Tha



Maula Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain



Abbas Ke Baazu Kate, Paani Bahaa Wo Mashk Se

Ghore Ke Zee Se Jab Ghire, Thi Ye Sakina Ki Fugha



Maula Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain



Teero Pe Tha Laasha Tera, Aur Jism Tha Khoo Se Bhara

Jab Aaya Khaali Zuljana, Peyro Se Lipti Bibiya



Maula Haq Imam Ya Hassan Ya Hussain