Ghabraayi Hai Zainab Aaya Hai Madina

Write-Up
Ghabrayi Hai Zainab, Aaya Hai Madina

Labrez Hai Gham Se, Har Bibi Ka Seena



Eik Saal Ghuzara Hai, Zindaane Sitam Mei

Din Baaqi Guzaaregi, Zainab Issi Gham Mei

Maqtal Mei Hai Asghar, Zinda Mei Sakina

Ghabrayi Hai Zainab, Aaya Hai Madina



Ay Ehle Madina Tu, Khaamosh Hi Rehna

Zainab Se Khudara Tu, Eik Lafz Na Kehna

Jo Saase Bachi Hai, Ko Dekhi Hazeena

Ghabrayi Hai Zainab, Aaya Hai Madina



Ye Sochke Roti Hai, Beemar Hai Sughra

Har Fardke Baare Me, Ab Puchegi Dukhyaa

Aysa Na Ho Sunker, Marjaye Khazeena

Ghabrayi Hai Zainab, Aaya Hai Madina



Har Baat Bata Dunghi, Jab Pucheghi Sughra

Baalo Ki Safedi Ka, Batlae Sabab Ka

Ha Isse To Behtar, Zindaan Mei Jeena

Ghabrayi Hai Zainab, Aaya Hai Madina



Jab Pursa Mujhe Denghe, Sab Logh Watan Ke

Kis Tarha Chupaunghi, Ye Neele Rasan Ke

Nehwaal Safar Ka, Kehde Ye Kaheena

Ghabrayi Hai Zainab, Aaya Hai Madina



Har Zakhm Sunadegha, Ehwaal Safar Ka

Kat Jaaena Dil Uska, Kab Dekheghi Sughra

Peshani Hai Sajjad, Par Surkh Pasina

Ghabrayi Hai Zainab, Aaya Hai Madina



Sab Kuch Ko Luta Aayi, Pardesme Zainab

Mazlooma Musafir Ye, Kya Jeeke Kare Aa

Bin Bhayi Ke Abto, Dushwaar Hai Jeena

Ghabrayi Hai Zainab, Aaya Hai Madina



Zainab Ke Khayaalo Mei, Awaaz Ye Aayi

Mehmil Se Utar Kar Jab, Fizza Ne Sada Dee

Dil Thaamlo Bibi, Lo Aaya Madina

Ghabrayi Hai Zainab, Aaya Hai Madina