Write-Up
(Shabbir Ka Maatam, Shabbir Ka Maatam) X2

1. Islaam Ki Hai Shaan, Shabbir Ka Maatam

(Shabbir Ka Maatam, Shabbir Ka Maatam) X2

2. Munkar Ke Liye, Zarbe Ali, Maatame Shabbir

Maatam Ke Mukhaalif Ke Liye Khanjaro Shamshir

Momin Ki Hai Pehchaan, Shabbir Ka Maatam

(Shabbir Ka Maatam, Shabbir Ka Maatam) X2

3. Ruk Sakta Nahi Maatame Shabbir Jahaan Me

Maatam Ye Sare Hashr Bapaa Hoga Jinaan Me

Apna To Hai Imaan, Shabbir Ka Maatam

(Shabbir Ka Maatam, Shabbir Ka Maatam) X2

4. Khushnudiye Zehraa Issi Maatam Ke Sabab Hai

Islaam Bhi Zindaa Issi Maatam Ke Sabab Hai

Kyun Na Kare Insaan, Shabbir Ka Maatam

(Shabbir Ka Maatam, Shabbir Ka Maatam) X2

5. Khud Qabr Me Karte Hai Nabi Girya O Maatam

Ye Soch Ke Har Saal Jab Aata Hai Muharram

Karte Hain Musalmaan, Shabbir Ka Maatam

(Shabbir Ka Maatam, Shabbir Ka Maatam) X2

6. Wo Farshe Azaa Jisne Bichaai Sare Zindaan

Do Apne Pisar Bhaai Pe Jisne Kiye Viraan

Zainab Ka Hai Armaan, Shabbir Ka Maatam

(Shabbir Ka Maatam, Shabbir Ka Maatam) X2

7. Baatil Ke Liye Khof Hai Khanjar Hai Ye Maatam

Haq Banke Bapaa Aaj To Ghar Ghar Hai Ye Maatam

Jannat Ka Hai Saamaan, Shabbir Ka Maatam

(Shabbir Ka Maatam, Shabbir Ka Maatam) X2

8. Zehraa Ki Duaa Hai, Dile Haider Ki Tamanna

Ruksaktaa Nahi Rok Ke Dekhe Isse Dunya

Qur’aan Ka Unwaan, Shabbir Ka Maatam

(Shabbir Ka Maatam, Shabbir Ka Maatam) X2

9. Ye Ajre Risaalat Hai Muhammad Ki Qasam Hai

Ye Maatame Shabbir To Imaanka Bharam Hai

Hai Deen Pe Ehsaan, Shabbir Ka Maatam

(Shabbir Ka Maatam, Shabbir Ka Maatam) X2

10. Be Hubbe Ali Jis Tarah Milti Nahi Jannat

Be Maatame Shabbir Milegi Nahi Izzat

Karte Raho "Rehaan", Shabbir Ka Maatam

(Shabbir Ka Maatam, Shabbir Ka Maatam) X2