Write-Up
(Shaame Ghareebaan, Shaame Ghareebaan) X2

1. Maqtal Me Gunjti Rahi, Zainab Ki Ye Fughaan

(Shaame Ghareebaan, Shaame Ghareebaan) X3

2. Mehmaan Bulaakar Hame Barbaad Kiya Hai

Had Hogayi Ek Bundh Bhi Paani Na Diya Hai

Rota Raha Hai Pyaas Se, Asgher Sa Be Zubaan

(Shaame Ghareebaan, Shaame Ghareebaan) X3

3. Jo Ghar Se Gayaa, Waapas Nahi Aaya

Paamaal Huwa Dasht Me, Shabbir Ka Laasha

Ab Tu Hi Bataade Mera, Abbas Hai Kahaan

(Shaame Ghareebaan, Shaame Ghareebaan) X3

4. Tu Aai Aise Waqt Me, Jab Chin Gai Rida

Khaimoke Saath Nanha Sa Jhoola Bhi Jal Gaya

Phela Huwa Hai Chaaro Taraf Dekhle Dhuaan

(Shaame Ghareebaan, Shaame Ghareebaan) X3

5. Ghash Me Para Hai Aabide Bimaar Kya Karun

Koi Nahi Hai Mera Madadgaar Kya Karun

Akber Shaheed Hogaye, Ab Kown De Azaan

(Shaame Ghareebaan, Shaame Ghareebaan) X3

6. Aai Thi Karbala Me Bharaa Ghar Liye Huwe

Abbas Mere Sar Pe The Saaye Kiye Huwe

Mei Aaj Tanhaa Rehgai, Aadaa Ke Darmiyaan

(Shaame Ghareebaan, Shaame Ghareebaan) X3

7. Jaana Hai Qaid Hoke Jo Zindaane Shaam Me

Roro Ke Din Guzaarungi Yaade Imam Me

Baandhi Gai Hain Dekhiye Shaanome Rassiyaan

(Shaame Ghareebaan, Shaame Ghareebaan) X3

8. Majboor Be Watan Hun Nawaasi Nabi Ki Hun

Zehra Ki Laadli Hun Me Beti Ali Ki Hun

Kyun Resmaan Me Baandhi Gai, Hai Qalaaiyaan

(Shaame Ghareebaan, Shaame Ghareebaan) X3

9. "Rehan" Daastaane Umam, Kaise Ho Raqam

Zainab Ke Bayn Likh Nahi Sakta Mera Qalam

Chashme Qalam Se Khun Ke Aansu Huwe Rawaan

(Shaame Ghareebaan, Shaame Ghareebaan) X3