Guzregi kaise Zainab (SA)

Write-Up
Guzrengi Kaise Zainab, Bazaar-E-Shaam Se



1. Waqif Nahi Hai Bibi, Balwa-E-Aam Se



Guzrengi Kaise Zainab, Bazaar-E-Shaam Se



2. Ahmed Ki Hai Nawaasiyaa(N), Sajjad Keh Rahe Hai

Salaar-E-Kafela Jo, So Zakhm Seh Rahe Hai

Logo Na Maaro Pathar, Har Ik Maqaam Se



Guzrengi Kaise Zainab, Bazaar-E-Shaam Se



3. Jis Ko Salaam Khud Hi, Allah Kar Rahe Hai

Us Bibiyaan Pe Zalim, Ye Zulm Dhaa Rahe Hai

Mehroom Kar Diya Hai Unko Salaam Se



Guzrengi Kaise Zainab, Bazaar-E-Shaam Se



4. Shaam-E-Gharibaan Me Zainab Bangayi Thi Ghazi

Hai Aaj Tak Imaamat Baqi Zakaat Unki

Abid Ko Jaa Ke Laayi Jhalte Khayaam Se



Guzrengi Kaise Zainab, Bazaar-E-Shaam Se



5. Zahra Ki Saani Zainab, Bazaar Mei Khari Hai

Chadar Nahi Hai Sar Pe, Ghayrat Bhi Ro Rahi Hai

Hai Haath Aur Gardan Bandhe Lagaam Se



Guzrengi Kaise Zainab, Bazaar-E-Shaam Se



6. Nok-E-Sina Pe Natiq, Quran Parh Raha Hai

Aur Sab Ko Ye Khabar Hai, Wo Haqq Pe Bakhuda Hai

Aandhe Huwe Hai Zalim Bas Ik In'aam Se



Guzrengi Kaise Zainab, Bazaar-E-Shaam Se



7. Darbaar Mei Hai Ik Sar, Jo Khun Ro Raha Hai

Sharminda Hai Wo Ghazi, Dekha Jo Marhala Hai

Zalim Ne Jo Bulaya Zainab Ko Naam Se

Guzrengi Kaise Zainab, Bazaar-E-Shaam Se



8. Zainab Ne Ye Dikhaya, Haider Ki Hu Mei Beti

Alfaaz Or Zabaan Ye, Hai Zulfiqar Meri

Palta Di Wo Hukumat Apne Kalaam Se



Guzrengi Kaise Zainab, Bazaar-E-Shaam Se



9. Sajjad Haaye Gham Mei, Chaalis Saal Roya

Zainab Phiri "Tejani", Dar Dar Jo Sar Barehna

Tha Umr Bhar Ye Nawha Qalb-E-Imam Se



Guzrengi Kaise Zainab, Bazaar-E-Shaam Se