Ya Makhduma ya Fizza (SA)
speaker_notes
Write-Up
(Shaam, Shaam, Shaam, Shaam) X2
(Ham Ko Bhi Sikha, Adab-E-Wafa) X2
Tujhe Zainab Ka Wasta
(Ya Makhduma Ya Fizza) X2
1. Jitne Zainab Ke Dil Pe Ghuzre Hai,
Gham Wo Sab Tune Bhi Uthaaye Hai,
Tere Bhi Sar Se Chhin Gayi Chadar,
Tune Bhi Taaziyane Khaye Hai
(Ya Makhduma Ya Fizza) X2
2. Bibi Kaniz-E-Sayyeda,
Zainab Ne Tujhko Maa Kahaa
Tera Bohot Hai Martaba
Ya Makhduma Ya Fizza
3. Jis Ghari Sheh Pe Chal Rahi Thi Chhuri,
Teri Halat Bayaa(N) Se Bahar Thi,
Teri Ankho(N) Se Khun Jaari Tha,
Kehti Thi Ayiye Madad Ko Ali
Ya Makhduma Ya Fizza
4. Bibi Kaniz-E-Sayyeda,
Maa Banke Har Shaheed Ka,
Matam Kiya Hai Marhaba
Ya Makhduma Ya Fizza
5. Tu Kaneeze Batool Hai Bibi,
Tu Duaae Rasul Hai Bibi,
Tu Hai Ehle Azaa Ki Shahzaadi,
Farshe Gham Ka Tu Phool Hai Bibi
Ya Makhduma Ya Fizza
6. Bibi Kaniz-E-Sayyeda,
Tu Bhi Agar Kare Duwa,
Ttal Jaaye Sarse Har Balaa
Ya Makhduma Ya Fizza
7. Waasta Tujhko Khune Asgher Ka
Waasta Shahe Dee(N) Ki Dukhtar Ka
Humko Amno Amaa(N) Ki Dawlat De
Waasta Fatema Ka Haider Ka
Ya Makhduma Ya Fizza
8. Bibi Kaniz-E-Sayyeda,
Maqrooz Momineen Ka,
Hojoye Karz Bhi Adaa
Ya Makhduma Ya Fizza
9. Wo Jo Be Ghar Hai Unko Ghar Dede,
Be Pisar Maao Ko Pisar Dede,
Jinke Aangan Me Aagayi Hai Khiza
Unko Sayaa Bhara Shajar Dede
Ya Makhduma Ya Fizza
10. Bibi Kaniz-E-Sayyeda,
Hum Sab Tere Ghulaam Hai
Humko Hai Aasra Tera
Ya Makhduma Ya Fizza
11. Pohnche "Rehan" Ye Salaam Mera,
Sheh Ki Nawha Ghari Hai Kaam Mera
Bibi Teri Duawo Ke Sadqe
Ponche Zehra Talak Kalaam Mera
Ya Makhduma Ya Fizza
12. Bibi Kaniz-E-Sayyeda,
Ye Nokri Hussain Ki,
Karta Rahu(N) Yuhi Sadaa
(Ya Makhduma Ya Fizza) X2
(Ham Ko Bhi Sikha, Adab-E-Wafa) X2
Tujhe Zainab Ka Wasta
(Ya Makhduma Ya Fizza) X2
1. Jitne Zainab Ke Dil Pe Ghuzre Hai,
Gham Wo Sab Tune Bhi Uthaaye Hai,
Tere Bhi Sar Se Chhin Gayi Chadar,
Tune Bhi Taaziyane Khaye Hai
(Ya Makhduma Ya Fizza) X2
2. Bibi Kaniz-E-Sayyeda,
Zainab Ne Tujhko Maa Kahaa
Tera Bohot Hai Martaba
Ya Makhduma Ya Fizza
3. Jis Ghari Sheh Pe Chal Rahi Thi Chhuri,
Teri Halat Bayaa(N) Se Bahar Thi,
Teri Ankho(N) Se Khun Jaari Tha,
Kehti Thi Ayiye Madad Ko Ali
Ya Makhduma Ya Fizza
4. Bibi Kaniz-E-Sayyeda,
Maa Banke Har Shaheed Ka,
Matam Kiya Hai Marhaba
Ya Makhduma Ya Fizza
5. Tu Kaneeze Batool Hai Bibi,
Tu Duaae Rasul Hai Bibi,
Tu Hai Ehle Azaa Ki Shahzaadi,
Farshe Gham Ka Tu Phool Hai Bibi
Ya Makhduma Ya Fizza
6. Bibi Kaniz-E-Sayyeda,
Tu Bhi Agar Kare Duwa,
Ttal Jaaye Sarse Har Balaa
Ya Makhduma Ya Fizza
7. Waasta Tujhko Khune Asgher Ka
Waasta Shahe Dee(N) Ki Dukhtar Ka
Humko Amno Amaa(N) Ki Dawlat De
Waasta Fatema Ka Haider Ka
Ya Makhduma Ya Fizza
8. Bibi Kaniz-E-Sayyeda,
Maqrooz Momineen Ka,
Hojoye Karz Bhi Adaa
Ya Makhduma Ya Fizza
9. Wo Jo Be Ghar Hai Unko Ghar Dede,
Be Pisar Maao Ko Pisar Dede,
Jinke Aangan Me Aagayi Hai Khiza
Unko Sayaa Bhara Shajar Dede
Ya Makhduma Ya Fizza
10. Bibi Kaniz-E-Sayyeda,
Hum Sab Tere Ghulaam Hai
Humko Hai Aasra Tera
Ya Makhduma Ya Fizza
11. Pohnche "Rehan" Ye Salaam Mera,
Sheh Ki Nawha Ghari Hai Kaam Mera
Bibi Teri Duawo Ke Sadqe
Ponche Zehra Talak Kalaam Mera
Ya Makhduma Ya Fizza
12. Bibi Kaniz-E-Sayyeda,
Ye Nokri Hussain Ki,
Karta Rahu(N) Yuhi Sadaa
(Ya Makhduma Ya Fizza) X2
format_list_bulleted
More From This Album