Write-Up
Baba
Hussain a.s
Baba

Sun Rahay Ho Sada Baba Jaan
Hum Kahan Aa Gaye,
Ghar Kahan Reh Gaya

Qaid Khaney Main Nouha Sakina s.a Ka Tha
Hum Kahan Aa Gaye
Ghar Kahan Reh Gaya

Yaad Aata Hai Guzra Zamana Mujhey
Ley Ke Baaho'n Main Jhoola Jhulana Mujhay
Main Bulati Rahi Aur Na Aaye Chacha a.s
Hum Kahan Aa Gaye Ghar Kahan Reh Gaya

Qaid Khaney Main Nouha Sakina s.a Ka Tha
Hum Kahan Aa Gaye
Ghar Kahan Reh Gaya

Yaad Aata Hai Payara Madina Mujhey
Phool Jaisa Wo Baba Ka Seena Mujhey
Wo Zamana Koi Phir Dekha Dey Mujhay
Hum Kahan Aa Gaye Ghar Kahan Reh Gaya

Qaid Khaney Main Nouha Sakina s.a Ka Tha
Hum Kahan Aa Gaye
Ghar Kahan Reh Gaya

Bhai Abid a.s Ney Chalna Sikhaya Mujhey
Apne Haatho'n Se Khana Khilaya Mujhey
Ab Ussi Key Liye Hai Dawa, Na Ghiza
Hum Kahan Aa Gaye Ghar Kahan Reh Gaya

Qaid Khaney Main Nouha Sakina s.a Ka Tha
Hum Kahan Aa Gaye
Ghar Kahan Reh Gaya

Haaye Baba Ko Dekhey Zamana Hua
Unke Seeney Pe Soye Zaman Hua
Na Tumhara Pata Na Hamara Pata
Hum Kahan Aa Gaye Ghar Kahan Reh Gaya

Qaid Khaney Main Nouha Sakina s.a Ka Tha
Hum Kahan Aa Gaye
Ghar Kahan Reh Gaya

Sun Rahey Ho Sada Baba Jaan
Tum Kahan Reh Gaye
Tum Kahan Reh Gaye