Write-Up
Aoozu Billahe Minash Shaitanir Rajim

Bismillah Hir Rahmanir Rahiym

Ar-Rahman Allamal Quran Khalaqal Insana Allamahul Bayan

Ya Rahman Ya Rahim…..X3

Ya Hayyo Ya Qayyum, Ya Razzak Ya Azim

Al Nooro Al Mohanniyo Azizo Ya Karim,

Gaffar Tu Sattar Tu Jabbar Ya Hakim Quddoos Ya Shakur Ya Gafooro Ya Rahim

Maula Tu Bara Rehman ……..X3

Tu Hai Bara Rehman Maula Tu Bara Rehman …X2

Ehsan Hampe Hai Tera Ay Rabbe Zuljalal

Ummatne Uski Paida Kiya Jo Hai Be Misal

Dukhtar Batul Jiski Hassan Or Hussain Lal

Lehmo Ka Lehmi Jiska Ali Jaisa Ba Kamal

Qurano Ahlebait Ko Tune Kiya Yakjan

Adam Se Taubeme Diya Aakhir Teri Etaat

Tere Karam Ke Bar Tale Sare Ambiya

Musa Ke Haq Me Nil Me Rastaa Banadiya

Masloob Hoke Essa Ke Labpar Thi Ye Sada

Har Dilme Tu Makin Hai Kehneko Laamakan

Meraj Par Gaye Jo Rasule Falak Janab

Maabudo Abd Me Na Raha Jab Koi Hijab

Allah Ne Nabise Kiya Us Gari Khitab

Darkar Kya Hai Tumko Mujhe Chahiye Jawab

Bole Rasul Bakhshde Ummat Ko De Amaan

Rabne Kaha Adaa Karo Haqqe Payambari

Jis Waqt Aaye Rahme Manzil Gadirki

Taqmile Din Kama Hai Us Waqt Ay Nabi

Maidane Qum Me Is Tarah Maula Huwe Ali

Akmalto Lakum Din Ka Ho Jayenga Saman

Zehra Ka Ghar Sitara Jo Utra To Ye Khula

Mehboob Panjetan Ko Bahot Rakhta Hai Khuda

Maktab Hasan Hussain Ka Ye Ghar Bana Raha

Masnad Nabiki Isme Musalla Ali Ka Tha

Chaukhatpe Jiski Rehta Hai Jibrail Se Darban

Is Gharka Fard Fard Kuda Se Tha Hamkalam

Sajdeme Sar Hussainka Labpar Khuda Ka Naam

Khanjar Tale Khuda Se Ye Kehte Rahe Imam

Sar Teri Nazr Kartahu Ghar De Chuka Tamam

Aata Hu Teri Simt Mai Deta Huwa Azaan

Akbar Nisar Kar Diya Asghar Bhi Ro Chuka

Abbas Or Kasimo Hur Ko Bhi Ro Chuka

Zainab Ke Dono Bachoko Sehra Me Kho Chuka

Ab Daste Zulm Chadare Zainab Ka Kya Gaya

Le Dekhle Hussain Ke Chehre Ka Imtihan

Khaimo Se Aag Aag Se Uthta Huwa Dhuwa

Nanna Sa Ek Jula Hai Sholo Ke Darmiyan

Daman Jala Sakina Ka Kaise Bujaye Maa

Bandhi Gayi Hai Hato Me Zainab Ke Reshma

Ujra Huwa Hai Kafela Sajjad Saarva

Aayi Sada Hussain Ki Ay Kadiro Kadir

Beti Ali Ki Meri Bahan Ho Gayi Asir

Be Dast Mera Bhai Hai Tu Sabka Dastagir

Kufeki Shahzadiya Kaisi Huyi Fakir

Fir Bhi Mai Nouke Naiza Pe Deta Hu Ye Bayan