Write-Up
(Bazaar Mai Binte-Ali Deti Thi Sadaa Bhai Abbas Kahaan Ho) X 2

1. (Sar Par Bhi Nahi Chaadar) X 2 Laakhon Hai Tamashaai

Abbas (Kahaan Ho) X 2 (Abbas Abbas) X 4

2. Is Aalam-E-Ghurbat Mai Koi Bhi Nahi Meraa,

Hai Khaake Safar Sar Par Aur Haath Rasan Bastaa,

Pardes Mai Zainab Ko Taqdeer Kahaan Laayi

Abbas (Kahaan Ho) X 2 (Abbas Abbas) X 4

3. Paivast Hai Neze Mai Sar Shaahe Shahidaan Ka,

Yeh Dekh Ke Ai Ghaazi Phat-Taa Hai Mera Sina,

Marjaaegi Is Gham Mai, Shabbir Ki Majaayee

Abbas (Kahaan Ho) X 2 (Abbas Abbas) X 4

4. Dariyaa Ke Kanaare Tum Aadaa Se Gaye Larne,

Sab Dekh Rahi Thi Mai Darvaaza-E-Khaima Se,

Ab Jung Hamaari Bhi Dekho To Zaraa Bhai

Abbas (Kahaan Ho) X 2 (Abbas Abbas) X 4

5. Duniyo Ka Sahara Hai Baba Jo Hamaraa Hai,

Mushkil Mai Magar Maine Tumko Hi Pukaara Hai,

Ab Dhundhti Hai Tumko Bhayya Meri Binaai

Abbas (Kahaan Ho) X 2 (Abbas Abbas) X 4

6. Be Munis-O-Yawar Hai Batlaawo Kidhar Jaaye,

Is Tarha To Jine Se Behtar Hai Ke Marjaaye,

Fariyaad Kare Kisse Hoti Nahi Sunwaayi

Abbas (Kahaan Ho) X 2 (Abbas Abbas) X 4

7. Ai Sher Yehi Meri Imdaad Ko Aajaao

Maanga Hai Kanizi Mai Zaalim Ne Sakina Ko

Hai Waqt Qayamat Ka Maasum Hai Ghabraayi

Abbas (Kahaan Ho) X 2 (Abbas Abbas) X 4