Write-Up
Haye.....3

Sajjad (As) Ka Beta..... Shehzada Baqir (As).....Jub Aaya Madine.....sota Hi Nahi Tha..... Bus Rota Tha

Ek Shab Fizza Ne Aa Ke Kaha Shehzade..... Kyun Sote Nahi Ho Mere Aaqa Zade (As)

Maula Baqir (As) Ne Ro Kar Kaha......amma.....

Deka Hai In Aankhon Baba Ke Kate Sar Ko

Na Bhoolunga Mai Woh Karbobala Padhung Sada Yahi Marsiya.....haan Mai Rounga

Dekha Hai In Aankhon Ne, Jub Karbobala Pohuche

Daria Pe Lage Khaime, Daria Se Hate Khaime.....

Na Boolunga Mai Woh Siflo Jawan

The Tashna Dahan Labe Alkama

Mai Rounga.....

Dekha Hai In Aankhon Ne Ashur Ka Woh Manzar

Lashe Hi Bayabaan Se Sheh (As) Laate Rahe Din Bhar

Na Boolunga, Mai Woh Ranjo Alam, Sare Daste Gham Hue Sar Kalam

Mai Rounga

Dekha Hai In Aaknon Naizon Pe Shaheedon Ko

Aur Sham Ek Gariban Mein Jalte Hue Khaimon Ko

Na Bhoolunga Mai, Chini Chadaren, Jali Masnadi Mere Saamne

Mai Rounga

Dekha Hai In Aankhon Ne Kaunain Ki Shehzadi (Sa)

Jis Waqt Bani Kaidi, Gazi Ko Bulati Thi

Na Boolunga Mai, Haram Ka Safa, Chale Nange Sar, Rasan Pahankar

Mai Rounga

Dekha Hai In Ankhon Ne, Kanton Pe Safar Karna

In Shaam Ke Galion Mein , Ek Qaidi Ka Khoon Rona

Na Bhoolunga Mai Saaj E Bamodar Har Ek Naam Par Woh Naizon Pe Sar

Mai Rounga

Dekha Hai In Aankhon Ne Us Waqt Aseeri Me

Shabbir (As) Ki Dukhtar Ko Jub Maanga Kanizi Mein

Na Boolunga Mai, Haram Ro Diye, Subhi Dard Se, Tadap Ne Lage

Dekha Hai In Aankhon Ne Zindan Ka Woh Manzar

Lasha Tha Sakina (Sa) Ka , Beemar Ke Hathon Par

Na Bhoolunga Mai, Phuphi Ki Qaza, Kafan Bangaya Woh Kurta Jala

Mai Rounga

Dekha Hai In Aankhon Ne, Zinda Se Riha Ho Ke

Woh Ujde Hue Qaidi, Jub Karbobal Pohuche

Na Bhoolung Mai, Ke Dadi Meri, Yeh Keh Ne Lagi, Ke Bahan Aa Gai

Mai Rounga

Dekha Hai In Aankhon Ne, Irfan E Aza Ban Kar

Dekho Mere Chehre Ko, Har Gam Ka Hai Yeh Mazhar

Na Bhoolung Mai Kabhi Karbala , Woh Qaid E Jafa, Dayar E Saza

Mai Rounga