Write-Up
(Abbas Alamdar) X3 Ab Tak Hai Zabano Pe Alamdar Alamdar (Abbas Alamdar) X3 Ay
Qafela-E-Shaah Ke Salar Alamdar (Abbas Alamdar) X3

1. Eik Sada Kaano Mei Abhi Tak, Gunj Rahi Hai Logo Suno, Ye Hai Sada Khatoon-E-Jina Ki, Ham Bhi Kahe Aur Tum Bhi Kaho, (Kyu Na Kahe "Irfan" Aur "Mazhar") X2 Aao Dua Zehra Ki Paaye

(Aao Azadaro, Aao Alam Ghazi Ka Uthaaye) X2

2. Ye Wo Alam Hai Jiska Pharayra Sani-E-Zehra Ki Chadar Hai, Ha Ye Alam Jis Ghar Pe Laga Ho, Saaya-E-Zehra Mei Wo Ghar Hai (Kya Hai Alam Kya Iski Ataa Hai) X2 Aao Zabane Kar Ko Bataaye

(Aao Azadaro, Aao Alam Ghazi Ka Uthaaye) X2

3. Aao Zabane Kar Ko Bataaye, Ham Pe Abu Talib Ka Karam Hai, Paas Nahi Ayega Koi Gham, Saya Fighan Jab Tak Ye Alam Hai (Aao Alam Ke Saye Mei Aawo) X2 Ham Ka Har Ik Ehsaas Mitaaye

(Aao Azadaro, Aao Alam Ghazi Ka Uthaaye) X2

4. Ham Ka Har Ik Ehsaas Mitaakar, Pyaar Kare Sarkar-E-Wafa Se, Pyaar Ke Badle Pyaar Milenga, Tumko Nabi Se Aur Khuda Se (Saath Chale Ham Kyu Dunya Ke) X2 Duniya To Apne Saath Chaalye

(Aao Azadaro, Aao Alam Ghazi Ka Uthaaye) X2

5. Duniya Hamare Saath Chalengi Aur Qayadat Sheyr-E-Jari Ki, Sare Alam Juk Jaayenge Phir To, Baat Rahengi Eik Alam Ki (Khwaab Yahi Tha Bint-E-Ali Ka) X2 Kyu Na Isse Tabeer Banaaye

(Aao Azadaro, Aao Alam Ghazi Ka Uthaaye) X2

6. Khwaab Ko Jab Tabeer Milengi, Qaul Ye Pura Honga Kisi Ka, Koi Kahenga Mera Hai Maula, Koi Kahenga Mera Hai Maula (Payenge Phir Har Ghar Se Yakeenan) X2 Nohey Ki Aur Matam Ki Sadaaye

(Aao Azadaro, Aao Alam Ghazi Ka Uthaaye) X2

7. Nohey Ki Aur Matam Ki Sada Se, Gunj Raha Honga Ye Zamana, Saara Jahaa(N) Ye Baat Kahenga, Nad-E-Ali Hai Qaumi Tarana, (Qaumi Alam Aur Qaumi Parcham) X2 Dono Mei Hai Jo Far Ko Mitaaye

(Aao Azadaro, Aao Alam Ghazi Ka Uthaaye) X2

8. Dono Mei Hai Jo Far Ko Mitaane, Kaise Chale The Sibt-E-Payambar, Chand Jawaa(N) Aur Kuch Bacho(N) Se Sheh Ne Diya Tarteeb Ke Lashkar (Aawo Ussi Lashkar Ki Yaade) X2 Saare Jahaa(N) Ke Dil Me Jagaaye

(Aao Azadaro, Aao Alam Ghazi Ka Uthaaye) X2

9. Saare Jahaa(N) Ke Dil Me Jagaaye, Yaad Usi Ashoor Ki Shab Ki, Eik Alam Tha Aas Waha Par, Bali Sakina Aur Zainab Ki (Aas Bana Jo Ehl-E-Haram Ki) X2 Ham Bhi Ussi Se Aas Lagaaye

(Aao Azadaro, Aao Alam Ghazi Ka Uthaaye) X2

10. Aas Gayi Farzand-E-Ali Ki, Jab Ye Alam Maqtal Mei Ghira Tha (Eik Taraf Shabbir Aur Zainab) X2 Eik Taraf Sadat Ka Nawha

Haay Qafela-E-Shaah Ke Salar Alamdar (Abbas Alamdar) X3