Matam Hai Yeah Meri Baqa

Write-Up
(Matam Hai Ye Meri Baqa, Karte Rahenge Ham Sada) X2

(Zainab Tere Hussain Ka Gham Karte Rahenge) X3

1. (Ham Sina Zani Sham-O-Sahar) X2 Karte Rahenge

(Zainab Tere Hussain Ka Gham Karte Rahenge) X2

2. Ay Sani-E-Zehra Teri, Sunnat Hai Ye Matam

Apne Jo Aqeede Mei Ibadat Hai Ye Matam

(Har Haal Mei Ye Farz Ada) X2 Karte Rahenge

(Zainab Tere Hussain Ka Gham Karte Rahenge) X2

3. Jisne Teri Chadar Pe Fida, Kardiye Bazu

Kehti Hai Jisse Bibi, Alamdar-E-Wafa Tu

(Har Ghar Tere Ghazi Ke Alam) X2 Sajte Rahenge

(Zainab Tere Hussain Ka Gham Karte Rahenge) X2

4. Dohraayenge Pyaase Tere, Asghar Ke Kahani

Ta Hashr Jisse Rowenga, Daryao(N) Ka Paani

(Har Ghunt Pe Ham Yaad Usse) X2 Karte Rahenge

(Zainab Tere Hussain Ka Gham Karte Rahenge) X2

5. Jo Aag Liye Khana-E-Zehra Pe The Aaye

Khayaam Jinho Ne Tere, Karbal Mei Jalaaye

(Wo Naar-E-Jahannam Mei Sada) X2 Jalte Rahenge

(Zainab Tere Hussain Ka Gham Karte Rahenge) X2

6. Bibi Tere Beto(N) Ke, Biradar Ke Lahu Se

Roshan Jo Huwe Aal-E-Payambar Ke Lahu Se

(Wo Deep Haawaao(N) Mei Sada) X2 Jalte Rahenge

(Zainab Tere Hussain Ka Gham Karte Rahenge) X2

7. Bhulengi Na Dunya Ye Teri, Dard Kahani

"Jawwad" Ke Labse Kabhi "Sadiq" Ki Zubaani

(Pursa Tere Pyaaro(N) Ka Tujhe) X2 Dete Rahenge

(Zainab Tere Hussain Ka Gham Karte Rahenge) X2