Jangalo Ki Nazar Qafla Hogaya

Write-Up
Hay Yasrab se jab ik musafir chala
Apna ghar chhor kar dee(n) ki khatir chala
us ne socha tha kya
aur kya hogaya
jangalo ki nazar qafla hogaya
amn ka it watan dhundte dhundte
Haaye
Qaafley ka jo sardaar-o-salaar tha
us se pyaare nabi ko bara pyaar tha
baad pyaare nabi ke musalmaan ne
us ka kaata gala haal aisa kiya
thak gayi(n) us ki behne(n), bahoo, betiyaa(n)
us ka zakhmi badan, dhundte dhundte
jangalo ki nazar qafla hogaya
amn ka it watan dhundte dhundte
Haaye
Qatl karne pe hi iktifa na kiya
Us ke laashe pe ghorey bhi dora diye
kaati ungli angoothi utaari gayi
loot kar jism ka pairahan legaye
us ki hamsheer qatil ke ghar tak gayi
bhai ka pairahan dhundte dhundte
jangalo ki nazar qafla hogaya
amn ka it watan dhundte dhundte
Haaye
Aik nanna sa laasha jo Shabbir ne
khaak e karbal mei(n) ro ro ke dafna diya
haaye aisi jafaa baad marne ke bhi
us ki turbat pe ki zulm ki inteha
kitne mal'un neze liye aa gaye
aik tashnadahan dhundte dhundte
jangalo ki nazar qafla hogaya
amn ka it watan dhundte dhundte
Video