Baba Jan
speaker_notes
Write-Up
assistant
Baba
x3
Main akeli andhera woh dasht-e-bala
Jal gaye kheme kurta mera jal gaya
Phir meri samt ko ek zalim barha
Main larazne lagee dil dharakne laga
Baba
Usne kaano say nochee mere baaliya
Kaan kay khoon se kurta mera tar huwa
Usne mun pe tamacha lagaya mere
Main sambhal na saki gir gaye khaak pe
Phir main chillayi ro kay Chacha Abbas
Shimr mujeh maar raha hai
Meri madad ko koi na aaya
Baba main roti reh gaye
Baba
x2
Baba Jan kiya main kahun
Kiya na kahu
Ranj-o-Alam
Shaam-e-Gham
Haal-e-Safar
Shaam kay
Zindaan kay sitam
Apne gham tum bhi sunaao
Apne gham main bhi sunaaoo
Apne gham tum bhi sunaao
Apne gham main bhi sunaaoo
Baba Jan Shimr ne jab
x2
Maare tamache mu par
Baaliya kheeche meri
Kurta huwa khoon main tar
Baba Jan deekho zara
x2
Neelay hain rukhsaar mere
Kiya yateemo pe sitam
Karta hai yun koi bashar
Shimr ko deekh kay
Main khauf se Tharrati hun
Bhaiya Sajjad kay peeche
hi Main chup jaati hun
Baba
x2
Apne gham tum bhi sunaao
Apne gham main bhi sunaaoo
Farsi
Baba
x2
Baba Jan darded be juna
x2
Apne gham tum bhi sunaao
Apne gham main bhi sunaaoo
Baba Jan baazu bandhe
x2
Sab ke bandha mera gala
Jab rasan khechti thi
Dum ghuthta tha har gaam mera
Baba Jan maine kiya
x2
Panjo pe chal kar woh safar
Dard hota tha to
Chillati thi baba baba
Ghash main khati to
Zameen par nahi gir pati thi
Rassi is tarha se
Gardan main phasi jati thi
Baba
x2
Apne gham tum bhi sunaao
Apne gham main bhi sunaaoo
Baba Jan darded be juna
x2
Farsi
Baba
x2
Baba Jan darded be juna
x2
Apne gham tum bhi sunaao
Apne gham main bhi sunaaoo
Baba Jan dekhna kiya
x2
Sun bhi na pao gay bayaan
Mere rukhsar pe
Zalim ki anghooti kay nishaan
Baba Jan tum bhi mujeh
x2
Ab nahi pehchano gay
Khaak baalo main
Lahoo kaano say ab tak hai rawaan
Sabar har gham pay
Magar kese kiya mujhse suno
Teraa soo meel safar
Kesa kiya mujhse suno
Baba
x2
Apne gham tum bhi sunaao
Apne gham main bhi sunaaoo
Baba Jan darded be juna
x2
Farsi
Baba
x2
Baba Jan darded be juna
x2
Apne gham tum bhi sunaao
Apne gham main bhi sunaaoo
Baba Jan tum ko nahi
x2
Kiya mere zakhmo ki khabar
Ab mujeh log bulate hai
Yateema keh kar
Baba Jan aaj talak
x2
Main yeh samajh paayi nahi
Baap ka jana
Yateemi ya aseeri hai padar
Log mujhse yehi kehte hai
Kay tu maang dua
Ab kisi ko bhi
Yateemi na mile tere tarha
Baba
x2
Apne gham tum bhi sunaao
Apne gham main bhi sunaaoo
Baba Jan darded be juna
x2
Farsi
Baba
x2
Baba Jan darded be juna
x2
Apne gham tum bhi sunaao
Apne gham main bhi sunaaoo
Baba Jan aap ka sar
x2
Jab mujeh zindaan main mila
Khud ko na rookh saki
Zabt mera toot gaya
Baba Jan door hui
x2
Ab mere sadmo ki thakan
Aagaye aap bas
Ab chain se aayi gi qaza
Bas yahin khatam hui
Mazhar-o-Farhan buka
Le chalo saath mujeh
Baali Sakina ne kaha
Baba
x2
Apne gham tum bhi sunaao
Apne gham main bhi sunaaoo
Apne gham tum bhi sunaao
Apne gham main bhi sunaaoo
format_list_bulleted
More From This Album