
Pyasi Hai Sakina
speaker_notes
Write-Up
assistant
Haaye Sakina
x2
Ay Baad-e-Saba jaa ke ye Ammu ko bataana
Pyaasi hai Sakina
Iss chotey se sin me ye sitam mai(n) ne uthaaey
Allah kissi ko na yateem aisa banaaey
Khud apne lahu mei(n) koi bachi na nahaaey
Mai(n) tum ko bulaati rahi, tum bhi to na aaey
Mai(n) ban gayi baad Asr laeeno(n) ka nishaana
Pyaasi hai Sakina
Ay Baad-e-Saba jaa ke ye Ammu ko bataana
Pyaasi hai Sakina
Paani ki talab mujh ko khilaati rahi thokar
Kehta tha laee(n) doonga mai(n) fawjo(n) ko pila kar
Jab Shimr laee(n) kar chuka seyrab ye lashkar
Dikhlaa ke mujhe phek diya paani zamee(n) par
Tab samjhi mai(n) kya hota hai umeed dilaana
Pyaasi hai Sakina
Ay Baad-e-Saba jaa ke ye Ammu ko bataana
Pyaasi hai Sakina
Ik jaam huwa Sham-e-Ghareeba(n) mei(n) mayasar
Woh kuza mai(n) rakh ayi thi Asghar ki lahad par
Tha mujhse bhi chota mera bhayya mera dilbar
Sharminda mai(n) ho jaati Chacha pyaas bujhaa kar
Ab apne hi haato(n) se meri pyaas bujhaana
Pyaasi hai Sakina
Ay Baad-e-Saba jaa ke ye Ammu ko bataana
Pyaasi hai Sakina
Ik rassi mei(n) hum sab ke gale baandh ke adaa
Karte huwe tashheer chale janib-e-Kufa
Aur uss pe musibat ye thi qad chota tha mera
Utthtee(n) thi jo phuppiyaa(n) to galaa khichta tha mera
Gardan ka mere zakhm Chacha dekhne aana
Pyaasi hai Sakina
Ay Baad-e-Saba jaa ke ye Ammu ko bataana
Pyaasi hai Sakina
Jis roz se Asghar ko mila Baba ka seena
Us roz se Ammu nahi so payi Sakina
Iss haal mei(n) jaoongi mai(n) kis tarha Madina
Ajaaye mujhe maut, hai kis kaam ka jeena
Jaagi hoo(n) bohat, aa ke Chacha mujh ko sulaana
Pyaasi hai Sakina
Ay Baad-e-Saba jaa ke ye Ammu ko bataana
Pyaasi hai Sakina
Ghar laut ke jaate hai(n) har ik shaam parindey
Qismat mei(n) likhe hai(n) mere zindaa(n) ke andherey
Kab tak mai(n) jiyoo(n)gi yu(n)hi ashko(n) ke zahaarey
Lagtaa hai ke marjaoo(n)gi ab door watan se
Hoga na mayassar mujhe ghar laut ke jaana
Pyaasi hai Sakina
Ay Baad-e-Saba jaa ke ye Ammu ko bataana
Pyaasi hai Sakina
Anwar ye sada parcham-e-Abbas se aayi
Mai(n) bhool nahi sakta Sakina meri bachchi
Kaatey gaye baazoo mere, majboor tha bibi
Mashkeeza alam mei(n) hai laga, dekhle ab bhi
Parcham ka mere kaam hai dunya ko bataana
Pyaasi hai Sakina
Ay Baad-e-Saba jaa ke ye Ammu ko bataana
Pyaasi hai Sakina
x3